Friday, April 26, 2024
HomeSliderATM se raqam nikalna ab aur bhi mehanga hogaya

ATM se raqam nikalna ab aur bhi mehanga hogaya

Hyderabad: Kuch sarkari aur khangi banks ATM mein raqam jama karne ya haasil karne walay har ek hazaar rupiya ke liye 5 rupay ki sharah se fees wusool kar rahay hain aur yeh amal November se sarfeen ki jaybou par bojh daal raha hai. Hyderabad ka Axis khangi bank mein saving account barqarar rakhay hue hai. November mein unhon ne teen baar das hazaar rupay jama karwaye. Jab woh chowthi baar raqam jama karwanay bank gaya to bank hukkaam ne 125 rupay ke ziyada fees aaed kiye aur naqad raqam jama karwanay wali machine ke zareya bank mein raqam jama karwanay par bhi bank ne charges aaed kardiye.

Jab is se mutaliq sawal kiya gaya to bank ohdedaron ne usoolon ka hawala diya aur raqam wapas karne se inkaar kardiya. LB nagar ka vignesh khangi mulazim ki hesiyat se kaam karta hai. January mein is ne 3 laakh rupay khangi bank mein jama karwaye. January ke aakhir tak unhein yeh paegham mila ke bank ne naqad bahaali ke maavzon ke liye 1,622.50 rupay ki katoti kardi hai. Ek sawal ke jawab mein bank ohdedaron ne jawab diya ke unhon ne har ek hazaar rupaye par 5 rupaye fees aaed ki hai kyunkay gahak ne ek mahinay mein 2 laakh se ziyada raqam jama karwai hai. Unhon ne sarfeen ko bataya ke feeson mein bhi GST bhi shaamil hota hai. Banking shoba jo wabai bemari ke baad bahaali ki simt gamzan hai sarfeen par ziyada fees aaed kar raha hai.

Sarfeen Apne saving bank account mein rakhi hui raqam par 2 feesad sood haasil karte hain. Taham is mein izafah nahi kiya jata lekin bankon ke zareya dekh bhaal ke liye wusool kiye jane walay maavzon se haasil kardah sood se do ya teen gina ziyada hain. Dislukh nagar mein ek bank mulazim ne bataya ke agar sarfeen ATM ke zareya ya barah-e-raast bankoun ke Zareya 2 laakh rupay se ziyada raqam nikaal letay hain to yeh charges aaed kiye jarahay hain. Andhra Pradesh aur Telangana bankoun ke federation ke secretary MS Kumar ne kaha ke bankoun mein ruqumat jama karne walon ko iske baray mein maloomat faraham karna chahiye Kyunkay woh iske baray mein la-ilm hain.