Saturday, May 4, 2024
HomeOthersTechnologyATM ke baghair raqam haasil karne ki sahoolat

ATM ke baghair raqam haasil karne ki sahoolat

Hyderabad: Coronavirus ki wajah se loog ATM jane se bach rahay hain aur baas auqaat  ATM mein pesey na honay ki wajah se inhen mushkilaat ka bhi saamna ho raha hai. Awam ko ATM ki pareshani se raahat dainay ke liye hukoomat ki janib se ek khaas tareeqa bhi muta-arif kiya gaya hai aur khaas tareeqa jis ke zariye awam bagher ATM ke bhi naqad haasil kar satke hain lekin awam hanoz is sahoolat se istifada nahi kar parahi hain. Point of Sale ( POS Machine ) rakhnay wali dukanoun se bhi awam ka ye kaam ho sakta hai. POS machine se paisa nikaalne ke mutaliq bunyadi maloomat ko RBI ne FAQ ki fehrist phir jari ki hai. POS Terminal se naqad nikaalne ke liye Credit card ka istemaal nahi kar saktay hain.

 Is sahoolat ke tehat loog apne Debit card ke zariye naqad  raqam nikaal satke hain. Banks ki janib se jari open system Prepaid Cards se bhi nikalay jasakte hain. Halaank is sahoolat ke tehat Credit Cards ka istemaal nahi kiya ja sakta hai. Unified Payments Interface ke zariye bhi POS terminal se paisa nikala ja sakta hai. Is ke ilawa Wazeer e Azam Jan Dhan Account ke sath milnay wali over daraft sahoolat se link Electronic Cards ka bhi is ke liye istemaal kiya ja sakta hai.

 Is sahoolat ke tehat lain deen ki raqam ka feesad se ziyada  Charge nahi ho sakta hai. Alawa alav azeen is baat se koi farq nahi padta hai ke aap ko kis Bank se Card jari huwa hai. Is  sahulat ke tehat tair 1اور 2 mein raqam nikaalte ki hadd fi Card 1000 rupiye hai. Alawa aze dukandaar POS terminal se generate huvi raseed aap ko denge. -YTN STAFF