Tuesday, July 8, 2025
HomeIndiaAtal Bihari Vajpayee chal base

Atal Bihari Vajpayee chal base

New Delhi- Teen waqton ke Wazeer e Azam wo  Mulk ke senior siyasatdan Atal Bihari Vajpayee ka aaj shaam dehaant hogaya. All India Institute of Medical Sciences (AIIMS) ne un ki maut ka elaan kya jahan woh 9 hafton se zair e ilaaj thay. Wazeer e Azam Narendra Modi ne 24 ghanton mein do martaba Hospital ka daura kya. Mulk bhar ke sarkardah siyasatdan Hospital pahonchh kar un ki sehat ke baray mein jankari haasil karte rahay thay. BJP ke 93 sala qad aawar siyasatdan ko 11th  June ko gurday ki naali aur pishaab ki naali mein soozish par Hospital mein shareek karwaya gaya tha. Un ka aik hi gurda hi karkard tha.
Atal Bihari Vajpayee 25 December 1924 ko aik school teacher ke gharana mein Gawaliarr Madhya Pradesh mein paida hue. Unhon ne 1942 mein ‘Hindustan Chod do Tehreek’ mein hissa letay hue siyasat mein daakhil hue. Unhon ne Victoria College Gawaliarr se Political Science mein Post Graduate kya. Vajpayee Bhartya Jan Sangh, Janata Party aur Bharatya Janata Party ke baani rukan rahay hain. Woh 1957 mein pehli martaba dosray Lok Sabha ke liye muntakhib hue jis ke baad woh 1967, 1971, 1977, 1980, 1991, 1996, 1998, 1999 aur 2004 mein Lok Sabha ke liye muntakhib hotay rahay, jabkay 1986 mein woh Rajya Sabha ke rukn muntakhib hue. 1977 taa 1979 Mulk ke wazeer kharja bhi rahay. Woh pehli martaba 16th  May 1996 ko Wazir e Azam banay jab us waqt ke Sadar e Jamhuria Hind Dr. Shankar Dayal Sharma ne BJP ko sab se badi party ke taur par ubharnay par tashkeel e hukoomat ki dawat di thi taham woh 13 din tak hi is ohda par barqarar reh sakay chunkay unhen koi doosri party taayeed karne par amaada nahi hui thi. Vajpayee ne 19th March 1998 ko dobarah Wazeer e Azam ke ohda ka halaf liya, 13 mah baad 17th April 1999 ko woh tehreek etemaad mein aik vote ki shikast ke baayis un ki hukoomat zawaal pazeer hogayi. Yeh wahid hukoomat rahi hai jo tehreek adam etemaad mein shikast se dochar hui. Vajpayee ne teesri martaba 13th October 1999 ko Wazeer e Azam ki hesiyat se halaf liya. Un hi ke daur mein Dehli- Lahore Bus Service ka aaghaz huwa. Vajpayee ke hi daur mein jab woh 13 din ki hukoomat ke baad namzad Wazeer e Azam thay Kargil ki jung paish aayi thi jo BJP ki bhaari aksariyat se kamyaabi yakeeni hui thi. Isi terha Vajpayee ke hi daur mein Decemeber 1999 mein Indian Airlines ke tayyarah ka aghwaa karkay Kabul le jayagya tha. Aghwaa kunindon ne Hafiz Sayeed ki rihayi par mughawiah musafireen ko riha kya tha. Un hi ke daur mein 13th December 2001 ko Parliament par hamla huwa tha. Isi terha 2002 mein jab woh Wazeer e Azam thay, Gujarat ka khonraiz tashadud bhadka tha, jis mein aik hazaar se zaayed Musalman shaheed hogaye thay. Vajpayee ko 2015 mein Mulk ke aala tareen Civil Award ‘Bharat Ratan’ se sarfraz kya gaya. Vajpayee jo aik shayar aur musannif bhi thay, aik darjan se zayed kitaaben likhi hain.