Saturday, May 3, 2025
HomeHyderabadAsthma Ki Dawa : Numayesh Maidan Ke Liye Railway Station Aur Bas...

Asthma Ki Dawa : Numayesh Maidan Ke Liye Railway Station Aur Bas Station Se Khusoosi Buses

Hyderabad:  Nampally  ke numayesh maidan par 7 taa 9 June ko machhli mein di janay wali dawa ke liye RTC ki janib se khusoosi Buses ka intizam kiya ja raha hai. dooor daraaz ke maqamat se se Buses aur aur trains ke zariye hyderabad pounchanay walay awam ke liye airports , bus stations aur railway stations se Nampally  numayesh maidan tak pounchanay ke liye khusoosi Buses ko chalaya jayega.

Afzalgunj aur Dilsukhnagar se anay wali khusoosi Buses Gandhi bhavan aur public garden tak awam ko chodengi. jis ke baad wapsi ke rastay par bhi yeh unhi maqamat tak apna safar mukammal karengi. is ke alawa rozaana chalne wali Buses  jo Afzalganj aur Dilsukhnagar se Nampally  ki tarafayen gi woh woh GPO ke rastay se apni manzil tey karengi. hyderabad mein moujood ahem railway stationon jin mein Secunderabad , kachiguda  par khusoosi counter moujood rahenge jahan banner ke zariye awam ko aur khas kar door daraaz ke maqamat se  Nampally  numayesh maidan unka rukh karne walay musafireen ki rahbari ki jayegi. is ke alawa woh airport ke zareya bhi Nampally  numayesh maidan tak ke safar ke liye khusoosi Buses  chalaye jarahi hain. yaad rahay ke Monsoon ke aaghaz ke mauqa par Nampally  ke numayesh maidan mein Asthma ke marz ke liye machhli mein dawa di jati hai jis ke liye Hindustan bhar ki reyaston se awam yahan pahunchaty hain aur is martaba bhi Biahr , Uttar pardesh, Madhya pradesh, Orissa ke alawa tamil nadu ke awam pehlay hi hyderabad pohanch chuke hain . –YTN STAFF