Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAssam Muzloomoun Ki Tarjumani Mein Nazam Likhne Waloun Ke Khilaaf Muqadma

Assam Muzloomoun Ki Tarjumani Mein Nazam Likhne Waloun Ke Khilaaf Muqadma

Dispur: Assam shehriyat par moujood tanaza mein ab ek naye baab ka izafah hogaya hai jaisa ke is ke mutaliq likhi gayi nazam par 10 afraad ke khilaaf FIR darj ho gayi. maya zabaan mein likhi gayi is nazam ke mutaliq shikayat mein kaha gaya hai ke iske zareya Assam ki Shabeeh kharab karne ki koshish ki gayi hai. jin afraad ke khilaaf FIR darj hui hai un mein beshtar bangal nazaad muslim shayar aur samaji karkun hain.

FIR ke talluq se Gohati Central ke DSP Dharmendar kumar Das nay kaha ke ek FIR darj ki gayi hai. halaanke abhi tak kisi ko girftar nahi kiya gaya hai. un logoun ke khilaaf taziratِ hind ki dafaa 420 / 406 ke tehat muqadma darj kiya gaya hai. is FIR se nazam nigaar heran hain aur apne khilaaf karwai ko ghalat tehra rahay hain. jin logoun ke khilaaf FIR darj karwaya gaya hai un mein se ek Abdul kalam azad nay kaha hai ke kiya hamein haqeeqi logon par nazam likhne ka bhi ikhtiyar nahi hai. jinhen mushtaba shehrion ke group mein rakha gaya hai ya nazar band campoun mein bheja ja raha hai, kiya un ki haalat bhi nazam mein bayan nahi ki ja sakti?

Darasal Assam mein ghair qanooni tareeqay se anay walay berooni afraad ko wapas bhejnay ka mansoobah banaya gaya hai aur is ke tehat Assam mein taqreeban 40 laakh logon ko unki hindustani shehriat se be dakhal kiya ja raha hai. hukoomat ke is qadam se nah sirf mutasireen pareshan hain balkay samaji karkunaan bhi fikar mein mubtala hain. ek hindi Website par to aisi khabrain bhi shaya hui hain jis mein likha gaya hai ke shehriat janay ke khauf se kuch logon naay sadme mein khudkushi kar li. 88 sala Ashraf Ali ke barey mein bhi bataya jata hai ke woh ghar waloun se bahar se khana laane ki baat keh kar nikla tha lekin zeher kha kar is nay khudkushi kar li .

Bahar haal, Assam shehriat tanaza par likhi gayi nazam ko Assam ke kuch log riyasat ki Shabeeh kharab karne ki koshish qarar day rahay hain. muqami bashindah pranbjeet nay apni tehreeri shikayat mein kaha hai ke mulzimin ki Mansha poori duniya ki nazron mein Assam ke logon ki Shabeeh ki shakal mein bananay ki hai aur yeh Assam ke awam ke sath mulk ki qaumi security wo kher sagali ke liye bhi khatrah hai. shikayat mein mazeed likha gaya hai ke is nazam ka asal maqsad nizam qanoon ke khilaaf mukhtalif tabqo ko mushtael karna hai. –YTN STAFF