Wednesday, May 7, 2025
HomeIndiaAssam Mein NRC : Dobarah Tasdeeq Karne 25 Laakh Logoun Ki...

Assam Mein NRC : Dobarah Tasdeeq Karne 25 Laakh Logoun Ki Hukoomat Se Darkhwast

New Delhi : Assam mein lag bhag 41 laakh logoun  National Register of Citizens   ke maswadey se bahar kiye janay ke baad, lag bhag 25 laakh logoun  ney markaz ko dobarah tasdeeq karne ke liye ek darkhwast bheja hai.

Wizarat –e-dakhla ney kaha ke kayi haqeeqi naamoun ko chodh diya gaya hai aur kayi logoun  ke namar registered hain. Wizarat-e-dakhla ney May mein ek hukum jari kiya jis mein yeh kaha gaya un afrad se mutaliq kisi bhi case ke faislay ko yaqeeni banaya ja sakta hai jin ke naam chaar mah ke andar NRC ki fehrist se kharij kiye ja sakte hain.

July 2018 mein tayyar hui fehrist mein aur is saal June ke taqreeban 41 laakh afraad ko kharj kardiya gaya hai. taqreeban 36 laakh afraad ney apne ikhraj aur aiterazat ke khilaaf daaway darj kiye hain.

NRC ke mukhtalif marakaz mein un daavoun aur aeterazat ki samaat ki jarahi hai. jumeraat ko hukoomat ney Supreme Court ko bataya ke Bharat duniya mein panah gazenoun ka markaz nahi ban sakta. 1951 mein shaya ho yi pehli NRC fehrist ko Supreme Court ki hidayat per Update kiya ja raha hai.

Hukoomat ney NRC ke tehat pehechane gay sabhi ghair qanooni tariqeen watan ke ikhraj ka beda uthaya hai. yeh daykhna hoga ke lakhoun logoun  ko Bangladesh kaisay bheja ja sakta hai, jis ney hamesha yeh kaha hai ke un ke mulk ka koi bhi shehri ghair qanooni tareeqa se hindustan nahi gaya hai. –YTN STAFF