Dispur: BJP hukoomat ke faisloun ki wajah se Hindustan mein aqliyat aur khaas kar musalmanoun ke liye aaye din naye masail paeda ho rahay hain jabkay riyasat Assam ke musalmanoun ke liye sab se bada masla apni shehriat saabit karne ka hai jo unke liye kisi qayamat-e-sughra se kam nahi kyunkay pehlay hi hazaroun afraad ke naam qaumi shehriat ki fehrist mein shaamil nahi hain. ab is ke baad jin ke naam fehrist mein shaamil nahi hain inhen apne naamon ki tajdeed karwane ke liye Notices jari ki gayi thee aur inhen hidaayat di gayi hai ke woh mutaliqa markaz par report karen lekin sitam baalaye sitam haqeeqat yeh hai ke jin afraad ko notice jari karte hue inhen jis mutaliqa markaz se rujoo honay ki hidaayat di gayi woh senkdoun kilometer door hai aur chand waqiyat mein aisay adaad wo shumaar bhi samnay aaye hain ke ek hi khandan ke kayi afraad ko baik waqt ek se zayed marakaz se rujoo honay ki hidayaat di gayi hai.
Jin afraad ko Notices jari ki gayi hain inhen shehriat ke dastawizaat ke sath national registered of citizen ( NRC ) ke siwa kendra rujoo honay ki hidayaat di gayi hai jo taqreeban 400 taa 700 kilometer door waqay hain. hazaron aisay khandan hain jinhein NRC ke hukkaam ki janib se notices jari ki gayi aur inhen 24 ghanton ke androon jawab dainay ke alawa senkdon kilo maters door mojood marakaz se rujoo honay ki hidayaat di gayi thi jo haqeeqat se kaafi baeed hai. Assam ke musalmanoun ke liye ab jo mushkil tareen halaat hain is ka andaza laganay ke liye Tafeez Uddin aur Nizaam ul Haq choudhry ke afraad-e-khandan ke masail ka jaiza lena kaafi hoga kyunkay har musalman ki yahan aisi hi kahani hai. 50 sala Tafeez uddin ka talluq kamroo zila ke santoli se hai. unhon ne banglore se apne dosray betay ka naam shehriat fehrist mein shaamil karwane ke liye 13 hazaar rupay qarz liya taakay NRC ke kamon ko anjaam diya jasakay lekin banglore se Naseer Uddin ko ghar wapas laane ke liye ki jaane wali is koshish ke bawajood inhen is baat ka yaqeen nahi hai ke NRC ki janib se jo qatee fehrist 31 august ko jari ki jayegi is mein Naseer Uddin ka naam shaamil hoga ya nahi.
Tafeez uddin ko 4 august ke din subah 7 bajey notice masool hui aur inhen hidayaat di gayi ke woh der gaoun ke NSK markaz se rujoo hon lekin is notice ki hidayaat ke haqayiq kaafi takleef da hain kyunkay jis markaz se Tafeez uddin ko rujoo honay ki hidayaat di gayi hai woh un ke gaon se 366 kilo meter door balai Assam ke golaghat zila mein hai aur inhen dosray din subah 9 bajey apne afraad-e-khandan ke sath markaz se rujoo hona tha jis ke liye unhon ne aur unke padosion ne ek khangi bas kiraye par haasil ki jis ka kiraya 30 hazaar rupay hua. apni aap beeti sunaate hue unhon ne kaha ke mein jis panchayat ke tehat kaam karta hon wahan mojood ek khatoon se 13 hazaar rupay qarz liye aur fori tor par banglore ki ek factory mein kaam karne walay apne betay Naseer Uddin ko 5 hazaar rupay rawana kiye lekin woh banglore se Assam ke se pohanch sakta hai. notice mein jo waqt diya gaya woh 24 ghanton ka hi tha aur 24 ghanton mein banglore se gohati ka safar sirf tayyarah ke zareya hi mumkin ho sakta tha lekin is din tayyarah ka kiraya 16 hazaar rupay tha. aisay halaat mein Naseer Uddin muqarara waqt par ghar hi nahi pohanch paye aur jab train ke zareya woh ghar pohanche to fehrist ki tajdeed ki sunwayi ko guzray hue do din ho chukay the.
Naseer Uddin 12th jamaat ki kamyabi ke baad ghar chodh kar banglore ka rukh kiya kyunkay chand mah qabal hi Tafeez uddin ne wazeh kardiya tha ke ab woh apne betay ko mazeed college rawana karne ki istetat nahi rakhtay jis ki wajah se Naseer Uddin ne banglore ka rukh kiya tha taakay ksb muaash ko aaasaaan banaya jasakay lekin NRC ki janib se jis tarha ki notices jari ki gayeen aur androon 24 ghantay mutaliqa marakaz se rujoo honay ki hidayaat di gayi is mein apne ghar se mutaliqa markaz tak ka safar se senkdoun kilometer ka raha. had to yeh ho gayi ke ek hi khandan ke afraad ko ek hi din teen mukhtalif maqamat par sunwayi ke liye talabb kiya gaya jis ki wajah se awam mein be chaeni ki kefiyat payi gayi thi.
Aisay hi ek kahani 31 sala Nizaam ul Haq ki bhi hai jo ke ek sarkari school mein contract teacher hain. inhen bhi ek aisi notice masool hui jis mein inhen kamrop zila mein mojood gaon se 390 kilometer door jo rihat zila ke borteeta ke markaz se rujoo honay ki hidayaat di gayi. is hidayaat par amal aawri ke liye hamein zameen wo aasman ke qalabay milaane pade kyunkay ek to 24 ghanton ke androon taqreeban 400 kilometer ki masafat tey karna hai to doosri janib apni bus kiraye par haasil karna tha. 400 kilometer jaane aur anay ke liye bus ka kiraya 40 hazaar rupay diya gaya jis mein 4 mukhtalif khandano ke 40 afraad ne safar kiya aur kiraye ko aapas mein bardasht kiya. un tamam mushkilaat ke bawajood Assam ke senkdoun muslim khandano ko yeh hunooz bharosa nahi hai ke unke naam qatee fehrist mein shaamil honge ya nahi iski bhi koi tamaniat nahi dega. senkdoun afraad ko jahan taweel masafat tey karkay mutaliqa markaz tak pohanchna kaafi baar dikhayi day raha tha wahein ek aur museebat yeh thi ke khandan ke ma-umar afraad ko kisi aur markaz par rujoo honay ki hidayaat di gayi to isi khandan ke un ma-umar afraad ka sahara ban’nay walay nojawan afraad ko kisi aur markaz par apna muaqqaf paish karna tha. –YTN STAFF