Tuesday, May 13, 2025
HomeTrending NewsAssad Sham ke parliamani intikhabaat mein kamyabi

Assad Sham ke parliamani intikhabaat mein kamyabi

Damascus: Sham ki hukmran jamaat aur is ke itihadiyoun neh parliamani intikhabaat mein hasb tawaqqa aksariyat haasil kar li hai. Jung zada mulk Sham mein un intikhabaat ke liye inhen ilaqoun mein vote daaley gaye jahan hukoomat ka control hai. Jumaraat ko Votes ki ginti ke baad nataij ka elaan kiya gaya. Coronavirus ki waba ke sabab un intikhabaat ko dobaar multawi kiya ja chuka tha. Is ke baad guzashta itwaar yani 19 July ko intikhabaat karwaye gaye they.

Bashar Al Assad ki party aur baaz deegar jamaatoun ne qaumi ittehaad ke parcham taley mutahidda tor par intikhabaat mein hissa liya tha jis ne parliaman ki 250 Seats mein se 177 par kamyabi ka daawa kiya hai. Sham ke intikhabi Commission ke sarbarah Samer Zamreeq ne kaha hai ke is martaba intikhabaat mein sirf 33 feesad afraad ne apne haq raye dahi ka istemaal kiya jabkay 2016 mein voting ka tanasub 57 feesad tha.

Unhoun ne mazeed kaha hai ke agar koi bhi umeed waar nataij se mutmaen nah ho to wo, 3 Din ke andar apni shikayat darj karwa sakta hai. Parliamani intikhabaat ke liye 7 hazaar se bhi ziyada polling marakaz qaim kiye gaye they. Is baar un ilaaqoun mein bhi Voting huvi jahan khanah jungi ke ibtidayi daur mein opposition ka qabza tha lekin phir baad mein Assad ki hukoomat ne un ilaaqoun par bhi apna control dobarah haasil kar liya.

Ye intikhabaat ek aisay waqt karwaye gaye hain jab Sham ko zabardast aalmi pabandioun ke sabab iqtisadi bohraan ka saamna hai. Haal hi mein America ney Sham par jo nai pabandiyan ayed ki hain is se mulk ki currency buri terhan mutasir hui hai. Intikhabaat mein hissa lainay walay 1 hazaar 658 umeedwaroun mein se beshtar ney mulk ki maeeshat ko bahaal karne aur jung se tabah haal Infrastructure ko azsarno taamer karne ka wada kiya tha.

Sham ke jela watan opposition ittehaad ney un intikhabaat ko sharamnaak qarar dete hue, Shadeed alfaaz mein muzammat ki hai. Geneva mein aman muzakirat mein shaamil opposition ke ek rukan Yahya al-Aridi ney kaha aam feham zabaan mein keh satke hain ke ye intikhabaat ghair qanooni hain. Hukoomat ney hi tamam umeedwaroun, Yahan tak ke azad umeedwaroun ka bhi khud hi intikhab kiya tha aur unhoun ney hi inhen muntakhib bhi kar liya. German khabar rasan idaray DPA se baat karte huve Aridi ney kaha hai ke shaam mein logoun ko vote daalnay ki azadi hi nahi hai. Hukoomat ki janib se ye ek drama tha aur kuch bi nahi.

Qabal azeen America ne bhi un intikhabaat ko hukoomat ke matehat aur ghair munsifana qarar diya tha. Americi wizarat kharja ne apne bayan mein kaha tha, Asad ki hukoomat ne guzashta roz jaali parlimani intikhabaat ka dhong racha tha jis mein azadana aur munsifana voting nahi huvi. Asad apne un haliya corruption aur jabar ki misaloun se Shami awam aur aalmi baradri ko bewaqoof nahi bana satke. Shaam mein coronavirus ki wajah se un intikhabaat ko 2 martaba taalla gaya jahan hukoomat ke mutabiq ab tak sirf 540 afraad Covid-19 se mutasir hue hain jabkay taqreeban 30 afraad ki mout hochuki