Friday, April 26, 2024
HomeLatest NewsAsim ney sharmindagi se musalmanoun ke sir jhuka diya

Asim ney sharmindagi se musalmanoun ke sir jhuka diya

Hyderabad : In dinoun social media par ek video tezi se maqboliat haasil kar raha hai jis ko dekhnay ke baad har musalman ka sir sharmindagi se jhuk raha hai, kyunkay TV ke mashhoor show Kaun Banega Crorepati mein Asim choudhry se jo sawal Amitabh bachchan ney kiya iska jawab shayad islami mahol mein palne wala ek saal ki Umar ka bacha bhi aasani se day sakta hai lekin Hot seat par baithe Asim jo bazahir dunyawi aitebaar se kaafi taleem Yafta dikhayi day rahay they lekin unhon ney islami maloomat se taaluq rakhnay walay ek bunyadi sawal ka jawab hi nahi day paye balkay unhon ney is sawal ko hi badalne ki darkhwast kardi.

Amitabh bachhan ki janib se show mein poocha gaya sawal itna asaan tha ke usay aankhh jhapakte ba-aasani pooray etemaad ke sath diya jasakta tha kyunkay is mein sawal kiya gaya tha islami talemaat ke aitebaar se is mein kon paighambar nahi hain? is sawal ke 4 jawabaat jo faraham kiye gay they is mein Mohammad ﷺ, adam aleh salam, moosa aleh salam aur Jibraiel aleh salam ke naam mojood they.

Is sawal ka itna aasan jawab bhi Asim day nahi paye aur unhon ney Amitabh bachchan se darkhwast ki ke woh is sawal ko hi badal den. kaun banega crorepatti mein is waqeye ke baad iska video social media par kaafi maqboliat haasil kar raha hai jis par musalmanoun ney apni gham wo ghusse ka izhaar bhi kiya hai. is sawal ka jawab dena sirf Asim ki hi nakami nahi hai balkay un tamam Asim ki tarhan hazaron musalmanoun ki nakami hai jinke nazdeek duniya ki aala taleem IPS IAS aur is tarhan ke ohdon par Faiz hona hi kamyabi hai aur bunyadi taleem ke liye shehar ke kisi badey aur naamwar school ya convent school mein dakhla haasil karna fakhr mehsoos kiya jata hai.

Yeh to sab par ayaan hai ke ke islami talemaat ke liye muhallay ki har masjid mein sabahi madrassa jo-ke aksar Fajar ya asar ki namaz ke baad apni khidmaat anjaam deta hai aur jahan muhallay ki masjid ke imam ya mouzan bachon ko islam ki bunyadi talemaat faraham karte hain. Agar hum apne bachon ki islami taleem ke liye itna thoda waqt bhi nahi denge to phir Asim jaisay hazaron nojawan anay walay dinon mein manzar-e-aam par ayenge jo dunyawi taleem ko hi asal kamyabi samajh bathainge. KBC ka yeh ek video musalmanoun ko khawab ghaflat se jaganay ke liye kaafi hai aur inhen apne bachon ki fikar karne ke liye Laiha amal bananay par ghour karwaskta hai.

Aaj musalmanoun ki ek badi tadaad islami ke bunyadi maloomat se hi be-behra hain agar inhen yeh hi nahi maloom ke Allah, is ke rasool aur farishton ka kiya maqam hai? kis ka kiya naam hai aur kis mein kiya farq hai to phir kaisay woh mojooda halaat ka saamna karenge jahan aaye din islam aur musalmanoun par zahiri aur baatini hamlay kiye ja rahay hain aur un hamlon ka bunyadi maqsad musalmanoun ke wujood aur unke imaan ko mitaya ja sakay.

KBC ke is video se sabaq letay hue hamein apne bachon ki islami talemaat ki simt tavajja dainay ki sakht zaroorat hai aur apne ghar mein mojood bachon se sab se pehlay yeh sawal kiya jana chahiye musalman kisay kehte hain? Allah kon hai? Allah ke rasool ka kiya maqam hai? Insaan ki paidaiesh ka maqsad kiya hai? qayamat kiya hai? saza aur jaza kiya hai? taqwa kiya hai? walidain ka martaba kiya hai? namaz ke qaim karne ka hukum kyun diya gaya hai? is ke rasooloun ki talemaat kiya hain? Ahal-e-bait se mohabbat kyun zarori hai? yeh woh nakaat hain jinka nojawan naslon ko sikhana intahi zurori hai warna hamaray ghar mein bhi asim jaisay nojawan chaltay phirtay nazar ayenge. –YTN STAFF