Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsAshok Gehlot ne Madarsoun ke liye 1.88 crore rupay ki manzoori dedi

Ashok Gehlot ne Madarsoun ke liye 1.88 crore rupay ki manzoori dedi

Jaipur : Rajasthan ke wazeer-e-aala Ashok Gehlot ki sir-barahi mein congress hukoomat ne haal hi mein riyasat mein Madarsoun ke liye 1.88 crore rupay ki manzoori dedi hai. kyunkay markaz ke School Suvidha Anudaan scheme ke tehat inhen grant dena band kar diya hai, jiski wajah se ye taleemi idaray band honay ki haalat tak pohanch gay they.

Is maamla par baat karte hue, Rajasthan aqliati umoor ke wazeer Saleh Mohammad ne kaha ”agar-che Modi hukoomat aqliati tabqay ke fawaid ke liye badey badey daaway karti hai, lekin isne Rajasthan mein Madarsoun ke liye fund zay rokk kar apna asli chehra zahir kiya hai. taham, is muamlay par Ashok Gehlot ki hasasit ki wajah se, Rajasthan ke Madarsoun ko ek nai zindagi mili hai.

Wazeh ho-ke mojooda maali saal mein, ye madrasay band honay ke dhanay par they, kyunkay Rajasthan mein 3240 Madarsoun ko 9 crore rupay ki maali imdaad nahi di gayi hai.

Rajasthan school education council ke tavassut se markazi hukoomat un madaris ko ibtidayi taleem ke liye 5,000 rupay salana aur sanwi taleem ke liye har saal 12,000 rupay mukhtas kar rahi hai. taham, maali saal 2018-19 mein ye fund jari nahi kiye gaye hain, jiska matlab hai ke un idaron le liye ek naqad bohraan hai.

Darin-e-asna zaraye ne daawa kiya hai ke Madrassa modernisation scheme ke tehat wazeer-e-aala ki taraf se Manzoor kardah yeh funds kaafi mehdood hain aur sirf chand mahino tak Madarsoun ko Bar-qarar rakh sakte hain. Ittila ke mutabiq Ashok Gehlot un madaris ki taraqqi ke liye funds allotment jari rakhnay ke liye markaz ko khat likhinge. –YTN STAFF