Tuesday, July 8, 2025
HomeHyderabadAsateza, talba ko aalami shehri bananay ke liye paband ahed: Katherine Hadda

Asateza, talba ko aalami shehri bananay ke liye paband ahed: Katherine Hadda

Urdu University mein deeni madaris ke angrezi asateza ke tarbiyati programme ka iftitah. Dr Aslam Parvez ki bhi mukhatibat

Jahan chand deeni idaron aur un ke muntazmeen mein Amrici sifarat khanah ki janib se chalaye jany walay programmes ke talluq se khusoosi dilchaspi payi jati hai balkay kuch to aisay bhi hain jo Amrici sifarat khanah ki qurbat panay ke liye kuch bhi karne amaada nazar atay hain wahein aam musalmanoon mein America ki musalmanoon ke tayein itni dilchaspi ko shak ki nazron se dekha jata hai aur yeh sawal kiya jatay hain ke aakhir Amrici sifarat khanah ko musalmanoon ke deeni madaris se itni dilchaspi kyun hai aur America deeni madaris ke zareya apne kaun se maqasid poooray karna chahta hai.

Hyderabad. Duniya bhar ke taleemi idaray aur asateza meyaari tadrees ke paband ahed hain taakay inhen ikeeswein sadi mein aalami shehri ke taur par tayyar kya jasakay. Inn khayalat ka izhaar mohtarma Katherine Hadda, Amrici Counsel General mutayinah Hyderabad ne aaj ”asateza angrezi zabaan, deeni madaris ke do roza tarbiyati programme” ke iftitahi ijlaas se khitaab karte hue kya. Dr Mohammad Aslam Parvez, Vice Chancellor ne sadarat ki. Mohtarma Hadda ne workshop ke shurka ka hawala dete hue kaha ke ”geographiyai aitebaar se mukhtalif ilaaqon se talluq rakhnay ke bawajood badi had tak Muslim bradri ki khidmaat se wabista idaron mein naujawanon ko zewar taleem se aarasta karna aap sab ka mushtarka wasf hai. ”Unhon ne kaha ke junoobi Hind ki 3 riyasaton Telangana, Karnataka aur Kerala ke alawa markazi zair e intizam ilaqa Paduchery se 90 asateza na muwafiq mausmi halaat se nimat te hue iss programme mein hissa le rahay hain. America, bunyadi khawandgi se le kar sanati aur aala taleemi mawaqay ki farahmi tak wasee tar taleemi masayel se nimatnay ki pehal ka hissa raha hai. Taham aisay tabqaat mein jinhein tareekhi taur par meyaari taleem tak rasai mein zabardast mushkilon ka saamna karna pada hai, un mein Amrici sifarat khana ke angrezi zabaan mein tarbiyati programme sab se ziyada maqbool aur asar angaiz rahay hain. molana azad national urdu university mein ilaqai daftar angrezi zabaan, Amrici sifarat khana, nai Dehli aur Amrici Counsel General, Hyderabad ke zair e ihtimaam is programme ka ineqaad amal mein aaya hai. Washington ke bain ul aqwami taleemi idaara World Learning, ke taawun se honay walay programme ke ineqad mein Urdu University ke markaz Peshawarana Farogh baraye Asateza e Urdu Zariya Taleem aur Tarbiyat wo Taayinaati Cell taawun kar rahay hain. Dr. Mohammad Aslam Parvez ne apni sadaarati taqreer mein MANUU ko bar e sagheer ki sab se badi University qarar diya jahan Urdu zariye se aala taaleem faraham ki jarahi hai. Unhon ne deeni madarson ke talba ke liye mukhtalif rabita (bridge) courses ke mutaliq bataya aur kaha ke MANUU mein pehli martaba samaji uloom, arts aur science ke alawa aur deegar asri mazameen bashmole computer science, poly technique aur commerce waghera mein dakhlay ke liye yeh course chalaye jarahay hain. Unhon ne deeni madaris ke sath Urdu University ke rishte ko ”khusoosi” qarar diya. Dr Luis Scott, Trainer World Learning ne programme ke mutaliq mukhtasir maloomat faraham kee aur bataya ke is ka pehla marhala MANUU hi mein January mein munaqqid huwa tha. Professor H. Khadija Begum, Coordinator ne khair muqaddam kya. Janab Misbah Anzer , Asst. Professor CPDUMT ne karwai chalaye. Dr Mohammad Yousuf Khan, Incharge Tarbiyat wo Tayinaati Cell ne shukriya ada kya. Yahan yeh waazeh karna Zaroori hai ke jahan chand deeni idaron aur un ke muntazmeen mein Americi sifarat khanah ki janib se chalaye jany walay programon ke talluq se khusoosi dilchaspi payi jaati hai balkay kuch to aisay bhi hain jo Amrici sifarat khanah ki qurbat panay ke liye kuch bhi karne amaada nazar atay hain wahein aam musalmanoon mein America ki musalmanoon ke tain itni dilchaspi ko shak ki nazron se dekha jata hai aur yeh sawal kiya jata hain ke aakhir Americi sifarat khanah ko musalmanoon ke deeni madaris se itni dilchaspi kyun hai aur America deeni madaris ke zareya apne kaun se maqasid poooray karna chahta hai?