Friday, March 29, 2024
HomeIndiaAsaduddin par Uttar Pradesh mein muqadma darj

Asaduddin par Uttar Pradesh mein muqadma darj

Hyderabad: All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen (AIMIM) ke sadar Asaduddin owaisi par riyasat Uttar Pradesh ke 12 banky mein muqadma darj kiya gaya hain. sadar Owaisi par ilzam hai ke unho ne yaha ki tehseel Ram sunaihi ghaat ke ehaate mein waqayi masjid ghareeb Nawaz ko shaheed kiye jaane par mutanaza bayan diya hain..saath hi unho ne prime minister Narendra Modi aur chief minister par na zeba tabsera kiya aur covid-19 ke rok thaam ke liye aayid qawayid aur sharaet ki khilaf warzi ki.

Owaisi ke saath ijlas ke tamaam conveners par bhi muqadma darj kiya gaya hain. Asaduddin owaisi par muqadma ke liye daryabaad nishist se BJP rukun assembly Satish sharma ne chief secraitry home ku maktoob bhi likha tha. Wazeh rahe ke jume raat ki dopehar 12 banki shehar ke chandna mehalle waqia ek maidan mein (MIM) ke sarbara Asaduddin owaisi ne wanchit shoshat samaj ijlas se khitab karte huwe Ram sunaihi ghaat ki masjid ko shaheed kiye jaane ka zikr karte huwe kaha tha ke masjid ko chief minister yogi Aditya nath ki aemaa ke kehne par us waqt ke SDM ne munhadim kiya tha.

BJP ke rukun assembly ne owaisi ke is bayan par eteraz karte huwe chief secraitry home ko maktoob likh kar is bayan ki mazammat ki aur use firqa warana hum aahingi ko bigadne wala bayan kaha hai. rukun assembly ka dawa hai ke gair khanooni structure ko aaeni amal se giraya gaya hain. unho ne mazeed kaha hai ke MIM Owaisi ka yeh ijlas bagair ijazat munaqid huwa aur ijlas karte huwe corona ke qawayid ki khilaf warzi bhi ki gayi hain. Yaad rahe ke Uttar Pradesh mein inteqabat ki taiyariyon ko urooj par liye jaane ki taiyariya shuroo ho chuki hain aur aye din is tarha ke waqiyat ronma hone ke imkanaat bataye ja rahe hai.