Tuesday, May 7, 2024
HomeHyderabadAsaduddin Owaisi chouthi martaba Lok Sabha Hyderabad ke umidwaar

Asaduddin Owaisi chouthi martaba Lok Sabha Hyderabad ke umidwaar

Hyderabad: Lok Sabha intekhabaat ki tareekh ka elaan ho chuka hai aur uss ke liye sargarmia taiz ho gayi hain. Telangana ke dar-ul-hukumat o halqye Lok Sabha Hyderabad par sabhi ki nigehain lagi ho yi hain. Kyunkay mojooda rukan Parliament o kal Hind Majlis Ittehadul Muslimeen ke saddar Asaduddin Owasi sabiq ki terha is baar bhi laga taar chouthay daur ke liye intekhab lad rahay hain. Aur Kamiyabi ke liye pur umeed hain.

Majlis Ittehadul Muslimeenke muqablay kamyabi haasil karne ke liye Bhartiya Janata Party 1991 se laga taar koshish kar rahi hai. Lekin abhi tak is mein kamiyaab nahi hopayi .
Janab Asaduddin Owasi pheli baar 2004 mein huwe intekhabaat mein Hyderabad ki Lok Sabha nashist se intekhab laday they. Baad mein unhon ney 2009 aur 2014 ke aam intekhabaat mein usay Bar qarar rakha. Halaanke yeh nashist pichlle 35 saloon se Kulhind Majlis Ittehadul Muslimeenki jaib mein hai. Lekin 1984 ke intekhabaat tak yeh Congress ka garh huwa karta tha.

1971 ke intekhabaat mein Congress Leaders Melukut ney Telangana Rajya andoln ke urooj par Telangana parja Samiti ke Umidwaar ke tor par is nashist se intekhab lada aur Congress ke omidwar ko hraya. Saal 1951 mein huwe phelay intekhabaat se Congress ki jeet ka silsila shuru huwa. Congress Leader Ahmed Mohiuddin ney  Communist Leader aur PDF  ke Umidwaar Makhdum Mohiuddin ko hrakr is nashist par jeet haasil ki thi. Ahmed Mohiuddin phelay Wazir e Azam Jawahar Nehru ki kabeena mein markazi Wazir banay. Baad mein unhon ney Secunderabad Lok Sabha nashist se bhi jeet haasil ki. Phelay intekhabaat ke baad se Congress ney chay baar is nashist par jeet barqarar rakha. Hyderabad Lok Sabha halqe mein Malakpet, Karwaan, Goshamahal, Charminar, Chandaranguta, Yakutpura, aur Bahadurpura halqe Assembly shaamil hain.
Charminar, Yakutpura, Bahadurpura, aur Chandranguta poori terha musalmanoon ki aksariyat walay halqay hain. Jabkay Malakpet aur Karwaan mein bhi is community ke liye badi tadaad mein raye dehandhe hain. Sirf Goshamahal halqa Assembly mein Hinduo ka dabdaba hai aur yeh Akeli Assembly nashist thi jo 2009 mein MIM haar gayi thi. Aur is ney 2014 mein koi Umidwaar nahi utaara tha.

1984 mein Sultan Salahuddin Owaisi ney Hyderabad Lok Sabha nashist par TDP, BJP ittehaad ke aُmidwar ke Prabhakar Reddy ko pacharte huwe 3,481 voton ke farq se jeet haasil ki thi. Sultan Salahuddin Owaisi ney 1989,1991,1996,1998,1999 ke intekhabaat mein is nashist par kamyabi Bar qarar rakhi. 1984 mein, MIM qayed Sultan Salahuddin Owaisi ney pheli baar Hyderabad nashist se TDP ke ke Prabhakar Reddy ko harakar azad Umidwaar ke tor par kamyabi darj ki. Congress party ney is intekhab mein teesra maqam haasil kya. Baad mein Sultan Salahuddin Owaisi ney kabhi peechay moodh kar nahi dekha. Aur 2004 tak lagataar 6 baar MIM Umidwaar ke tor par is nashist se jeetay. Sargaram Siyasat se anke kinara kashi ikhtiyar karne ke baad, unnke farzand Barrister Asaduddin Owaisi ney 2004 ke intekhabaat mein halqa Lok Sabha Hyderabad se intekhab lada aur BJP ke apne hareef ko aik laakh voton se shikast di. 2009 ke intekhabaat mein, Barrister Asaduddin Owaisi ney 1.14 laakh voton ki aksariyat se TDP Umidwaar ko haraya.
Ittafaq se Sultan Salahuddin Owaisi ney 1996 ke intekhabaat mein BJP ke Maroof Leader Vinkya Naidu ko 73,273 voton ki aksariyat se shikast faash di thi. Uss ke bad BJP ke Umidwaar Badam Bal Reddy ney Sultan Salahuddin Owaisi ke maqabil teen baar harnay ka record banaya tha.
Sultan Salahuddin Owaisi ki Hyderabad se lagataar kamyabion ney muqami awam bilkhushoos aqliton mein hum ahangi aur istehkaam peda kya.

1984 mein jab Sultan Salahuddin Owaisi ney hyderabad ki nashist se intekhab lada, to is halqa mein mushkil se 39 feesad aqliat they. aur 1984 mein Sultan Salahuddin Owaisi ke vote lag bhag 2. 22 laakh se badkar 1998 mein 4.86 ho gaye.
1984 taa 2004 ke intekhabaat ke douran, Hyderabad Lok Sabha nashist mein 7 Assembly halqa jaat, Tandur, Vikarabad aur Rangareddy Zila mein Chevella aur Hyderabad zila mein karwaan, Charminar, Chandaranguta aur Yakutpura shaamil they.

Kul Hind Majlis Ittehadul Muslimeen ki Hyderabad Lok Sabha nashist se kamyabi ki asal wajah is ki saat mein se chaar Assembly halqon mein is ki kamyabi ke sath mojoodgi rahi hai. Majlis hamesha se teen se chaar nashiston par kamyaab ho ti rahi hai. Phir Majlis ney Decemeber 2018 mein (Hyderabad Lok Sabha halqa intekhab) mein ladey gay saat assembly halqon mein se chay par kamyabi haasil ki thi. Is ke baad se Majlis saat Assembly halqon mein kamyaab horahee hai. Aur ab phir aik baar halqa Lok Sabha hyderabad se Barrister Asaduddin Owaisi Umidwaar hain. Aur apni kamyabi ke record ko Bar qarar rakhney ke khawahish mand hain. Un ki qaidana salahiyaton aur awaami khidmaat ke paish e nazar unkee kamyabi ke Qawi imkanaat hain.