Friday, May 17, 2024
HomeIndiaAsaduddin Owaisi aur Digvijaya Singh ne Army Chief ke remarks par tanqeed...

Asaduddin Owaisi aur Digvijaya Singh ne Army Chief ke remarks par tanqeed ki

New Delhi: AIMIM ke sarbarah Asaduddin Owaisi aur Congress ke rehnuma Digvijaya Singh ne jumaraat ke roz Army Chief General Bipin Rawat ko un ke un remarks par tanqeed ka nishana banaya. Media numaindoun se baat karte hue Asad Owaisi ne kaha ”ehtejaj karne ka har ek ko haq hai, Yahan tak ke wazeer aazam ka daawa hai ke unhoun ne Emergency ke douran ehtijaj kiya.

Agar ehtijaj ke douran tashadud hota hai to, Usay qaboo karne ke liye police hai. Fouj civil mamlaat mein mudakhlat kyun kar re hai.? Owaisi ne ye bhi kaha ”Oh aisay remarks de kar Modi sarkar ko kamzor kar rahay hin“.

Is se qabal Owaisi ne Micro blogging site par bhi tabsarah kiya tha. Unhoun ne Twit kiya, ”kisi ke ohday ki hudood ko janna hi qayadat hai. Civil baala dasti ke nazriye ko samajhney aur is ke tehat idaray ki salmiyat ke tahaffuz ke baaray mein hai. Congress ke Rajya Sabha rukan Digvijaya Singh ki taraf se bhi CAA ke khilaaf ehtijaj par Army Chief general Rawat ke tabsaray par shaded tanqeed ki gayi.

Army Chief ke tabsaray par radd amal zahir karte hue Singh ne Twit karte hue kaha “Mai general sahib se ittafaq karta hon, Lekin qaideen wo bhi nahi hain, Jo apne pairo karoun ko firqa waranah tashadud aur qatal aam mein mulawis honay ki ijazat dete hain. Kya general sahib aap mujh se ittafaq karte ho.?

General Rawat ne jumaraat ko ek programme mein kaha ke ”Qayedeen wo nahi hotay jo logoun ko ghalat simt mein le jatay hain. Jaissa ke hum badi tadaad mein universition aur collegeon ke talba ko dekh rahay hain. Jis terhan logoun ko hamaray shehroun aur qasboun mein aatish zadgi aur tashadud ko injaam dainay ke liye logoun ke hujhoom ki qayadat kar rahay hain. Ye qayadat nahi hai“.

Wazeh ho ke 9 decemeber 2019 ko Lok Sabha mein shehriat tarmeemi bil ki manzoori ke bad wazeer dakhela Amit Shah ne 11 decemeber 2019 ko Rajya Sabha mein is bil ko pesh kiya, Jaha taweel behas ke baad is bill ko manzoor kiya ga. Is bill ke manzoor honay ke baad. Ye shehriat tarmeemi qanoon ban gaya. Is qanoon ke khilaaf ehtijaj karte hue Assam, Bengal sameit mulk ki mutadid reyastoun mein muzahirey teez hogaye. –YTN STAFF