Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadAsad Owaisi ne 10 January ko CAA ke khilaaf badi Rally nikalne...

Asad Owaisi ne 10 January ko CAA ke khilaaf badi Rally nikalne ka kiya elaan

Hyderabad : AIMIM ke sarbarah Asaduddin Owaisi ne elaan kiya hai ke 10 January ko shehriyat tarmeemi act ( CAA ) ke khilaaf ek wasee Rally ka ineqad amal mein laya jayega, aur 25 January ki aadhi raat ko tareekhi charminar ke paas qaumi parcham lehrayinge.

Hafta ke roz shehar ki 40 mukhtalif tanzeemon ki Joint Action Committee ( JAC) ke zair-e-ihtimaam badey pemanay par kiye gaye ”Million March ‘  ki zabar dast kamyabi ke chand ghanton baad, Hyderabad ke rukan-e-parliment ne kaha ke 10 January ki Rally eidgah Miralam se shuru hogi aur shastri maidan par ekhtataam Pazeer hogi. Owaisi ne kaha ke ”Telangana hukoomat ne shehar mein Rally ki ijazat se inkaar kardiya, unhon ne rajnedar nagar ( muzafaat mein ) is taqreeb ka ineqad karne ka faisla kiya.

Unhon ne ye bhi elaan kiya ke 25 January ko charminar mein ek badey pemanay par jalsa aam munaqqid kiya jayega aur aadhi raat ko woh qaumi parcham lehrayinge aur qaumi tarane padhenge. unhon ne ye bhi kaha ke aaeen aur mulk ko bachanay ke maqsad ke liye mulk ke naamwar shouraa ko madoo kiya jayega.

Owaisi ne ye elaan sangareddy town mein United muslim action committee ( UMAC ) ke zair-e-ihtimaam CAA ke khilaaf ehtijaj karne ke liye munaqidah ek jalsa aam ke douran kya. unhoun ne logon se ye bhi kaha ke wo aeen ki tajweez ko padhte hue apni selfies, video banayen, aur ye videos Mera samvidhan hash tag ke sath tiktok, Facebook aur youtube par post karen. Owaisi ne wazeer-e-aazam Narendra Modi se mutalba kiya ke woh kala dhan wapas layein.

Asad Owaisi ne pur-aman tor par CAA aur NRC ke khilaaf ehtijaj jari rakhnay ka awam ko mashwara diya. unhon ne kaha ke ehtijaj aindah 4-5 tak jari rehna chahiye, taakay hukmraanoun ko maloom hojaye ke awam jaag gaye hain. unhon ne ye bhi kaha ke woh Jamia Millia Islamia islamia ke talba ko salam karte hain ke unhon ne ehtijaj mein nai jaan daal di.

Rukan-e-parliment Hyderabad ne uttar pradesh mein yogi hukoomat ki taraf se ki jane wali zyadtio ki mazammat ki. unhon ne kaha ke UP police ne bad-tareen muzalim ka sahara liya, jis mein ek 70 sala mazhabi shakhsiyat ki pitayi ki aur 14 saal ke do ladko ko jinsi zayad-ti ka nishana banaya.

UP mein BJP hukoomat ne awaami amlaak ko honay walay nuqsanaat ki vasuli ke liye tashadud mein mulawis afraad ke asasay zabt kar liye. aqliton par dabao daalnay ke liye modi ne CAA mukhalif muzahireen ko Pakistan ki mazmat karne ke mashwaray dainay par, Owaisi ne kaha ke hindustan ke awam ka Pakistan se koi talluq nahi hai.

Unhon ne Modi ko yaad dilatey hue kaha ”hamara Pakistan se kaisa taaluq? Hum apne khwabon mein bhi Pakistan ke baray mein nahi sonch sakte. Asad Owaisi ne Pakistan ke wazeer-e-aaazm se sukhnoun ki hifazat aur unki ibadat gaahon par hamlay band karne ki appeal ki. unhon ne kaha zameen par koi taaqat hamari Hindustaniyat aur hamari mazhabi shanakht nahi cheen sakti.

Owaisi ne kaha ke ”CAA aeen ke mukhalif hai aur ye hindustan ko hindu qoum bananay ki simt ek qadam hai. unhon ne kaha ke wo Pakistan , Bangladesh aur Afghanistan ke mazloom logon ko shehriat dainay ke khilaaf nahi hain, lekin ye mazhab ki bunyaad par nahi hona chahiye. unhon ne ye batatay hue ke NPR, NRC ki taraf pehla qadam hai, unhon ne wazeer-e-aala KCR se mulaqaat ki. aur mutalba kiya ke wo kerala hukoomat ke banaye hue PRC ke tor par banay rehne ka mutalba kiya. –YTN STAFF