Saturday, April 20, 2024
HomeEntertainmentAryan khan gujishta 4 saal se manshiyat ka aadi

Aryan khan gujishta 4 saal se manshiyat ka aadi

Mumbai: Bollywood superstar Shah rukh khan ke bete Aryan khan manshiyat muqadme mein nayi tafseelat saamne aarahi hain. Aryan khan manshiyat muqadma Sunday se tamaam social media aur qaumi media par badi khabar hai. Unhe Sunday ko Mumbai mein ek cruise party par chape ke baad giraftar kiya gaya tha. NCB hukkam ne unhe adalat mein paish kiya aur phir unhe ek roza police remand par bhej diya gaya taa hum taza reports mein dawa kiya gaya hain ke star kid Aryan khan taweel arse se manshiyat ka istemal kar raha tha aur apne britain aur dubai qiyam ke dauran bhi manshiyat istemal kar raha tha.

India today ne mazeed dawon ki report di hai ke dauran e tashweesh Aryan be chain hoker ropada. Pooch gach ke dauran unhe maloom huwa ke Aryan khan taqreeban 4 saal se manshiyat ka istemal kar raha tha. Jab woh Britain Dubai aur deegar mumalik mein tha toh woh manshiyat ka istemal karta tha. Abhi tak uski rihai ke barein mein koe tafseelat nahi hai. Mubina taur par woh ek roza remand par tha lekin ab yeh bhi bataya ja raha hai ke hirasat mein 11 October tak tausee ho sakti hai. Is mamle mein Aryan ke alawa mazeed 7 afraad ko giraftar kiya gaya.

India today ki report mein bataya gaya hai ke is muqadme mein NCB ne ise apne Walid Shah rukh khan se Teliphone par taqreeban do minute tak baat karne ki sahulat di yaad rahe ke NCB hukkam ne hafte ki raat Mumbai sumandar par ek luxury cruise par ek rave party ki khufiya ittela milne chapa mara tha. Chape ke dauran 13 gram cocain 5 gram MD 21 gram charas aur 22 goliya aur 1.33 lacks rupiye zabt kiye gaye. Giraftar hone walon mein manmoon dhamicha Arbaz merchant Amit Singh Mohik Jaswal Gaumiyat Chopra naupur skreeka aur Vikrant choker shamil hain.