Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaArticle370 ko khatam karna tabah kan hoga : Mehbooba Mufti

Article370 ko khatam karna tabah kan hoga : Mehbooba Mufti

Srinagar : Peoples democratic party ( PDP ) ki rehnuma Mehbooba Mufti nay peer ko Modi hukoomat ke, aaen ke Article370 ko khatam karne ke faislay ko ”Hindustani jamhoriat ka siyah tareen din“ qarar diya.

Markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah nay peer ki subah Rajya sabha mein jammu Kashmir se Article370 khatam karne ki sifarish ki. Iske baad sadar jamhooria Ramnath kovind nay usay manzoori daydi. iske sath hi jammu Kashmir se makhsoos riyasat ka darjaa chin gaya.

Amit Shah naay ladah ke liye markaz ke zair-e-intizaam ilaqa banaye jane ka elaan kiya. jahan chandigarh ki tarhan qanoon saaz assembly nahi hogi. Shah nay Rajya sabha mein yeh elaan kiya ke Kashmir aur jammu douzen ek alehda markazi ilaqa hoga jiski qanoon saaz assembly hogi. iske baad mehbooba mufti nay kaha ke ”aaj ka din hindustani jamhoriat ka siyah din hai.

Sabiq wazeer-e-aala naay Tweet kiya, Article370 ko khatam karne ke liye hukoomat ka ek-tarfa faisla ghair qanooni aur ghair aaeni hai. unhon nay kaha ke Article 370 par uthaya gaya qadam Bar Saghir ke liye tabah kin nataij Bar aamad honge. Hukumat ke iraday wazeh hain. woh jammu wo Kashmir ke logoun ko dehshat zada kar ke is ilaqa mein apna ikhtiyar jamana chahtay hain. –YTN STAFF