Sunday, May 11, 2025
HomeIndiaArticle 370 ki mansookhi se ”Ek qoum, Ek aa-en“ ka khawab haqeeqat...

Article 370 ki mansookhi se ”Ek qoum, Ek aa-en“ ka khawab haqeeqat ban gaya : Modi

New Delhi : Wazeer-e-aazam Narendra Modi  ne 73th  youm-e-azaadi ke mauqe par lal qilah ki Faseel se mulk ko mukhatib karte hue kaha ke Hindustan dehshat gardi ke khilaaf bharpoor andaaz mein ladh raha hai. dehshat gardi ko farogh dainay walon ka asli chehra duniya ke samnay lana hai. unhon ne kaha ke dehshat gardi ki fiza paeda karne walon ko khatam kar denge.

Narendra Modi  ne yeh bhi kaha ke Hindustan dehshat gardi ki himayat karne walon se ladega. iske sath hi, jammu wo Kashmir se Article 370 ko hataane aur Riyasat ko do markazi zair-e-intizam ilaaqoun mein taqseem karne ke hukoomati iqdaam ke pas manzar mein wazeer-e-aazam Narendra Modi  ne jumeraat ko lal  qilah se kaha ke ”ham masail ko talte bhi nahi aur paltay bhi nahi hain. ab nah talnay ka waqt hai aur na hi paalne ka waqt hai.

Modi  ne kaha ”hukumat bananay ke 70 dinoun ke andar parliment ke dono aiwanoun ne Article 370 aur 35A ko hataane ke faislay ko manzoori di. Unhoun ne kaha ke hum mulk ke bashindoun ne jo kaam diya, hum usay poora kar rahay hain. unhon ne kaha ke un dono Article 370 ne guzishta 70 se ziyada saloon ke douran riyasat mein alehadgi pasandi aur dehshat gardi ko Farogh diya tha aur riyaston mein ”bad-unwani aur tafarraqa paeda kiya gaya tha, aur aam log markazi qawaneen ke fawaid se mahroom the.

Narendra Modi  ne kaha ke jammu wo Kashmir aur ladakh ke do markazi zair-e-intizam ilaaqoun ke naye intizamaa se wahan ke awam ko baghair kisi pabandi ke barah-e-raast markazi hukoomat se baat cheet karne ka mauqa mileyga.

Modi ne kaha ke jammu Kashmir ki tanzeem nou ke liye har hukoomat ne kuch nah kuch koshishein kee, lekin nataij khwahish ke mutabiq haasil nahi hosakay. ab jammu wo Kashmir ki khusoosi haesiyat ki mansookhi ke sath, har Hindustani ab ”ek qoum, ek Aa-en“ fakhr ke sath keh sakte hain. sardar patel ka ek Hindustan ka khawab haqeeqat ban gaya hai.

Unhoun ne yeh bhi kaha, ”Nayihukoomat ko 10 haftay bhi nahi hue hain, lekin is mukhtasir muddat mein, tamam shobo mein har mumkin koshish ki gayi hai, hum poori lagan ke sath khidmaat anjaam day rahay hain.

Wazeer-e-aazam ne kaha ke teen Talaq ke khilaaf qanoon muslim khawateen ko insaaf ki farahmi ke liye banaya gaya hai, aur dehshat gardi ke khilaaf jung ko mazbooti se ladnay ke liye –e-dehshat gardi ke qanoon mein tarmeem ki gayi hai.

Wazeer-e-aazam Narendra Modi  ne mulk mein abadi par qaboo panay ke liye chotey kumbe par zor diya aur kaha agar abadi khushaal, taleem Yafta hai to phir mulk ko agay badhne se koyi nahi rok sakta. unhon ne kaha ke GST ne ”ek mulk , ek tax“ ke khawab ko haqeeqat bana diya, Hindustan ne tawanai ke shobay mein ek mulk , ek grade bhi haasil kiya hai. ab behas ek mulk ek intikhabaat ke baaray mein hai.

Modi ne kaha ke bad unwani aur kalay dhan ke khatmay ke liye uthaya gaya har qadam khush aaind hai, un masail ki Wajah se pichle 70 saloun mein mulk ko bohat nuqsaan uthana pada hai. unhon ne kaha ke aaj 21 win sadi ki zaroorat ke mutabiq mulk mein jadeed infrastructure taamer kiya ja raha hai. mulk ke infrastructure ki taamer par 100 laakh crore rupiye ki sir Maya kaari ka faisla kiya gaya hai.

Ek badey elaan ke tor par Narendra Modi  ne kaha ke ”Hukumat difai amlah ( CDS) ka ek ohda tashkeel degi, jo mukhtalif difai panels ki ek darina sifarish hai. ”Hindustan mein cheif of defense staff hoga. CDS se forces ko aur bhi mo-asar bananay jarahay hain. CDS ka naya ohda musallah afwaj ke teeno wings ki nigrani karega.

Lal  qilah ki Faseel se khitaab ke douran Narendra Modi ne Pakistan ko tanqeed ka nishana banaya. aur kaha ke ”Hindustan dehshat gardi ke khilaaf sakhti se khada hai, aur dehshat gardi ko panah dainay aur maali imdaad dainay walon ke haqeeqi rang duniya ke samnay paish kar raha hai.

Is mauqa par Narendra Modi  ne Afghanistan ko salam paish kiya, jo chaar din baad azaadi ka 100th jashnn manayega. Wazeer-e-aazam Narendra Modi  ne mulk mein pani ke masail se mutaliq kaha ke ”Dehi Hindustan ke bohat saaray hissoun mein khawateen pani laane ke liye kayi kilometer tak jati hain, unhon ne har ghar jal, ya har ghar ko peenay ke pani ke liye Ek jal jeevan mission“ ka elaan kiya, jis ke liye 3,59,000 crore rupaye mukhtas kiye gaye hain.

Plastic ke istemaal ko khatam karne se mutaliq jisay ek aalmi khatrah tasleem kiya gaya hai, Modi ne kaha ke plastic ka istemaal mahol ke liye ek bohat bada khatrah hai. is ki rok thaam ke liye teamuon ko mutharrik karna hoga. 2 October se ye ahem iqdaam uthaya jayega. –YTN STAFF