Hyderabad : Markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah nay hafta ko kaha ke Jammu wo Kashmir ka Hindustan ke sath wabastagi Article 370 ko mansookh karne ke sath mukammal hogayi hai. unhon nay kaha ke wazeer-e-aazam Narendra Modi ki sarbarahi mein parliament naay jammu wo Kashmir ko Hindustan ka ahem hissa bananay ke liye Article 370 ko khatam kar diya.
Wazeer-e-dakhla Amit Shah Hyderabad mein Sardar vallabhai patel national police academy mein, Indian Police Service ( IPS ) ke probationers ke 70th passing out prayed se khitaab kar rahay the.
Hindustan ke pehlay wazeer-e-dakhla sardar vallabhai patel ko zabar dast kharaaj tehseen paish karte hue Amit Shah nay kaha ke ”Unhoun nay hindustani union ke sath 630 reyaston ko zam karne ka challengeic kaam kiya. is baat ko yaad karte hue ke riyasat hyderabad ka Nizam hindustani union mein daakhil honay ke liye tayyar nahi hai, Shah nay kaha ke patel tareekhi police karwai se hyderabad ko Hindustan mein daakhil karne mein kamyaab hogaye.
Unhon nay kaha ke ”Sardar patel ki qiyadat mein, police ki tareekhi karwai naay Hyderabad, Telangana, andhra, karnatak ke kuch hissay aur maharashtra ko Hindustan ka hissa bana diya. is shehar ko Hindustan ka hissa bananay ka sehra police karwai ko jata hai.
Amit Shah nay yeh batatay hue ke ab tak 33,000 police ahelkar mulk ke liye apni jaan ka nazrana paish kar chuke hain, unhon naay IPS probationers ko bataya ke woh qoum ki khidmat ki is azeem rivayet ka hissa ban’nay ja rahay hain. Shah nay kaha ke mulk ko apni dakhli salamti jaisay mutadid challenges ka saamna karna pada. jaisay dehshat gardi, manshiat, cyber crime aur padosi mumalik ke zareya paeda kardah challenges.
Unhon nay kaha ke taraqqi Yafta Hinudstan ke liye aman aur salamti zurori hai. Shah nay kaha ke dakhli salamti aur aman o maan ke baghiyat, aman aur salamti mumkin nahi hai. unhon nay yaad dilaya ke civil services ke baani ki hesiyat se sardar Vallabhai patel nay qaumi mafadaat ka Muhafiz bana diya tha.
Unhon nay kaha ke ”Khushaal, taleem Yafta aur mehfooz Hindustan banana hamara maqsad hona chahiye, nah ke zaati taskeen ke liye. unhon nay IPS officers ko mashwara diya ke woh hamesha aeen ke tahaffuz ke liye apna kirdaar ada karen. unhon nay IPS officers ko yeh bhi mashwara diya ke woh aeen ke dairay mein reh kar be-khauf ho kar kaam karen.
Is mauqa par Telangana ke governor ESL Narsimhan, wazeer mumlikat baraye dakhla, G.kishan reddy, Telangana ke wazeer-e-dakhla Mohammad Mahmood Ali , National Police academy ke director Abhay aur deegar moujood the. –YTN STAFF