Riyadh : Saudi arab ne Aramco tel company par hamlay mein istemaal honay walay drone aur missile ki baqiyat paish karte hue daawa kiya ke yeh irani jarhiyat ke na qabil tardeed shawahid mojood hain. khayaal rahay ke 14 September ko Saudi arab mein hukoomat ke zair-e-intizam chalne wali duniya ki sab se badi tel company Aramco ke 2 plants par drone hamlay kiye gaye they.
Tafseelaat ke mutabiaq Saudi hukkaam ne Riyadh mein munaqidah press conference mein media numaindon ko drone aur missile ke tukde dikhey. Saudi arab ki wizarat difaa ke tarjuman colonel turkey al-mulki ne kaha ke irani Delta Wing ne cruse drone aur cruse missile se hamlay kiye.
Unhon ne press conference mein kaha ke hamla shumal ki janib se kiya gaya aur is par koi sawal nahi bantaa ke hamlon ko Iran ki muawnat haasil thi. wizarat difaa ke tarjuman ne kaha ke hamla Yemen ki janib se nahi kiya ja sakta. wazeh rahay ke Yemen mein hukoomat mukhalif Housi baghion ne hamlay ki zimmedaari qubool ki thi taham wizarat difaa ke tarjuman ne Housi baghion ke bayan ko mustard kar diya hai. wizarat difaa ke tarjuman ne kaha ke Saudi tel ki tansibat par drone aur missile ke jumla 25 hamlay Yemen se nahi balkay Iran se kiye gaye.
Wazeh rahay ke isse qabal America ne ilzaam aed kiya tha ke Saudi arab mein duniya ki sab se badi tel company Aramco ke 2 plants par hue drone hamlon mein Iran barah e raast mulawis hai. Mike pompeo ne ilzaam aaed kiya ke kasheedgi khatam karne ki tamam tar koshisho ke bawajood Iran ne duniya ki tawanai sarbarahi par hamla kiya.
Doosri janib Iran ne Saudi arab mein drone hamlay mein mulawis qarar dainay ke Amrici ilzaam ko mustard kardiya hai aur wazeer kharja Jawad zareef ne kaha ke Pompeo ziyada se ziyada dabao mein nakami ke baad ab ziyada se ziyada dhoka dainay ki janib chalay hain.
Zehen nasheen rahay ke 14 September ko Saudi arab mein hukoomat ke zair-e-intizam chalne wali duniya ki sab se badi tel company Aramco ke 2 plants par drone hamlay kiye gaye they. Saudi hukkaam ke mutabiq drone hamlon se tel ki tansibat mein aag bhadak uthi thi jis par qaboo pa liya gaya tha.
Saudi press agency ne Saudi wizarat dakhla ke zaraye ka hawala dete hue kaha hai ke abaqiq aur kharees mein lagnay wali aag par qaboo pa liya gaya hai. is hamlay ki zimmedaari Housi baghion ne qubool ki thi jabkay iske askari tarjuman ne kaha tha ke Saudi hukoomat ko mustaqbil mein bhi aisay mazeed hamlon ki tawaqqa rakhni chahiye. Saudi arab ki zair-e-qayadat fouji ittehaad March 2015 se Yemen mein hukoomat mukhalif Housi baghion se jung ladh raha hai aur maazi mein bhi Housi ki janib se is tarhan ke hamlay kiye ja chuke hain. –YTN STAFF