Tuesday, May 14, 2024
HomeTrending NewsArab mumalik mein 70 lakh afraad rozgaar se mahroom

Arab mumalik mein 70 lakh afraad rozgaar se mahroom

Riyadh: Bain ul aqwami labor organization ne Arab mumalik mein corona ki waba ki wajah se peda honay bohraan aur mehnat mazdoori ke imkanaat mein kami ke nateejay mein khadsha zahir kiya hai ke Arab mumalik mein rawan saal ki doosri sah mahi ke douran 70 lakh se zayd afraad rozgaar se mahroom ho satke hain.

Arab mumalik mein labor se mutaliq sar garmioun ke umoor ke maahir Mustafa Saeed ne kaha ke corona ki waba phelnay ke baad se rawan saal ki doosri sah mahi ke douran poori duniya mein taqreeban 10.7 feesad kaam ke auqaat zaya honge jo ke har haftay mein 48 ghantoun ke nuqsaan ka tanasub se 305 Miliion mulazematoun ke barabar hai. 

Jahan tak beshtar Arab mumalik samait is khittay ka talluq hai to Mustafa Saeed ne kaha ke andazay ke mutabiq doosri sah mahi mein 7 lakh mulazimatoun ke rozgaar cheine jane ka andesha hai.

Unhoun ne kaha ke muashi bahaali ke hawalay se apaneye jane wali policies aur tareeqakar dono nuqsanaat ki talaafi mein muawin saabit honge. Nojawan tabqa sab se ziyada mutasir hai. Be rozgaar nojawanoun ka bohraan coronavirus ke phelao se qabal ka hai, Kyunkay be rozgaroun ki tadaad 18 se 28 saal tak ki omar ke 267 million nojawanoun tak pahonch gayi hai.

Unhoun ne wazahat ki ke tanzeem ki haliya Report se zahir hota hai ke bhorani khittay mein nojawanoun ki tadaad 40 lakh ke qareeb hai aur un ki mulazimat se mehroom honay ka khatrah hai. –YTN STAFF