Friday, May 10, 2024
HomeSliderArab duniya mein 13 Million bachay Schooloun se mahroom

Arab duniya mein 13 Million bachay Schooloun se mahroom

Riyadh: Arab dunyaka naam suntay hi zehan mein ek shandaar riyasat ka tasawwur ubharnay lagta hai aur khayaal aata hai ek aisay maqam ka jahan zindagi kaafi par taash hai lekin haqeeqat mein kuch aisay manazair bhi mojood hai jo kay Saudi Arab ki ek doosri tasweer bhi pesh karte hain jis mein 13 Million bachoun ka schooloun se mahroom hona bhi shaamil hai.

Arab League mein taleem o tarbiyat aur Science research adary ki Director Dr. Dua Alkhalifa ke mutabiq 13 million Arab bachay Schooloun se mahroom hain. Arab duniya mein na khuwandagi ki sharah mein mazeed izafay ke imkanaat hain.
Tafseelaat ke mutabiq Riyadh mein Arab ijlaas ke mauqa par guftagu karte hue dua khalifa ne kaha hai ke agar Arab mumalik na khuwandagi aur schooloun se mutaliq taaza adaad o shumaar faraham karen to Arab league taleem balghan aur na khuwandagi ke insidaad ke liye 10 sala mushtarqa Arab programme shuru kar sakti hai.

Dua khalifa ke bamjab Arab league khanah jungi walay ilaqoun, Panah guzinoun ke campus aur be yaroo madad gaar afraad ke bachoun ki taleem o tarbiyat mein dilchaspi le rahi hai. Dua khalifa ne mazeed kaha hai ke Misar aur Palestine ne taleem balghan ke tajarbaat aur na khuwandagi ke insidaad ke hawalay se apni kawishoun ki reportin bhaije hain. Deegar mumalik se reportoun ka intzaar hai. Unhoun ne mazeed kaha har mulk apne yahan qaumi mansoobay ya strategic programme par amal pera hai.

Hamari dilchaspi un mumalik ke bachoun se hai jahan khanah jungi chal rahi hai ya wahan musallah kashmakash ka daur dora hai. Chahtay hain ke un mumalik ke bachay taleem se mahroom nah hon. unhoun ne kaha na khuwandagi Arab duniya ke liye bohat bada challenge hai. Khanah jangioun neez siyasi inteshaar se na khuwandagi bhedne ke imkanaat ziyada hogaye hain. Samaji aur saqafati riwayaat bhi is ka baais ban rahi hain. Arab mumalik mein abhi tak kam omri ki shadi ka rivaaj paaya jata hai. Khandani inteshaar ke waqeat badhay hain. Iqtisadi halaat bhi na khuwandagi ka bada sabab hain. –YTN STAFF