Thursday, May 9, 2024
HomeSliderAqwam-e-mutahidda bhi shadeed maali bohraan ka shikaar, November ki tankhwa ke intizama...

Aqwam-e-mutahidda bhi shadeed maali bohraan ka shikaar, November ki tankhwa ke intizama mushkil

New York:  Ab tak mumalik mein muashi bohraan ki khabrein samnay aati theen lekin ab to aqwam-e-mutahidda hi bohran ka shikaar hogaya hai.

Secretary general Antonio gutteres ne khabardaar kiya hai ke aalmi idaara aqwam-e-mutahidda shadeed maali bohraan ka shikaar hai aur agar rukan mumalik ne apne wajbat ada nahi kiye to aqwam-e-mutahidda ke amlah ke liye November ki tankhwa ke intizama mushkil hojaienge.

Aqwam-e-mutahidda ke tehat maali mamlaat dekhnay wali fifith committee ka ijlaas se guftagu karte hue secretary general ne kaha ke aalmi idaara ke maali halaat is qader bohrani soorate-haal ka shikaar hai ke aqwam-e-mutahidda ki general assembly ka ijlaas is saal ki ibtida mein hungami bunyadon par ki gayi budget katoti ki wajah se hi mumkin hua.

Antonio Guturres ne kaha ke idaara is waqt shadeed maali mushkilaat ka shikaar hai, is waqt programon ki mansoobah bandi ke liye budget nahi raha, aman fouj ke liye bhi raqam khatam hochuki hai aur November mein amlah ko tankhwahon ki adaigi ke liye bhi raqam mojood nahi hogi. unhon ne tamam aisay mumalik se wajbat ki fouri adaigi ki darkhwast bhi ki jinhon ne 2019 mein apne hissay ki raqam nahi di.

Wazeh rahay ke aqwam-e-mutahidda ke tamam akhrajaat rukan mumalik ki raqam aur atiyat se hi chalaye jatay hain. general assembly ka ijlaas bhi budget mein katoti ki baais hi mumkin hosaka tha. unhon ne kaha ke aqwam-e-mutahidda ke amlah ( secretariat ) ki tadaad 30 hazaar hai aur ab bhi idaara ko 230 million dollar ke khasaray ka saamna hai, ghair zaruri safar aur mulakhaton ko bhi khatam kardiya gaya hai taakay raqam bachaai jasakay.

3 october tak 193 rukan mumalik mein se 128 ne apne saal 2019 ke tamam vajbat ada kardiye they jabkay kayi mumalik ne ab bhi raqam jama nahi karai. yaad rahay ke 2018 aur 2019 mein aman fouj ko hataane ke baad aqwam-e-mutahidda ka jumla budget taqreeban 5 arab 40 crore dollar tha. –YTN STAFF