Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaAqliyatoun ki baat aur unkay masail ko sunna chahiye

Aqliyatoun ki baat aur unkay masail ko sunna chahiye

New Delhi : Be-baki se apni raye rakhnay wali bollywood adakarah Swara Bhaskar ne ek martaba phir apni be baak raye se surkhiyon mein hain. Mulk mein aqliyatoun mein phailay Adam tahaffuz ke ehsas aur Adam bardasht ke badhatay hue mahol par unhon ne tabsarah kiya hai. bollywood adakarah Swara Bhaskar ne kaha ke aqliyat agar yeh keh rahay hain ke mulk mein Adam bardasht mein izafah hua hai to unko suna jaana chahiye. aqliati tabqay se talluq na rakhnay wala shakhs unke dard ko nahi samajh sakta.

Bollywood ada-karah ne yeh bayan apne anay wali film sheer-qurma ke poster launch ke douran diya. unhon ne kaha ke agar ek dalit kahe ke woh bheed ke tashadud ka shikaar hosakta hai to iske jazbaat ko suna jana chahiye. aagr aap ke sath aisa nahi ho sakta to uska matlab yeh nahi hai ke yeh kisi aur ke sath nahi hosakta. Ek ladki agar ye kehti hai ke usay sun-saan rastay se jane se dar lagta hai to usko suna jana chahiye. aap uskay khauf ko mehsoos nahi karsakte kyunkay aap ek ladki nahi hain.

Swara Bhaskar ne mazeed kaha ke mujhe lagta hae ke yeh waqt hai mean stream cinema aur dosray zabaan ke cinema sanat ko thoda hassas aur zimmedaar hona padhega ke woh samaaj mein kin masail par tavajja karna chahtay hain. Swara Bhaskar social media par sir-garam rehti hain aur samaji masail par khil-kar baat karti hain. is se qabal bhi woh aisay samaji masail par apne nazariaat rakhnay ke liye tanqeed ka nishana ban chuki hain. –YTN STAFF