Sunday, April 20, 2025
HomeLatest NewsAqlitoun ke tahaffuz ko yakeeni bananay ke liye hindustan par America ka...

Aqlitoun ke tahaffuz ko yakeeni bananay ke liye hindustan par America ka zor

New Delhi: Is waqt hindustan shehriat tarmeemi bill ke baad ehtijaj ki aag mein jal raha hai is ki tanazur mein America ne kaha hai ke hindustan mein shehriat se mutaliq qawaneen me haliya tarmeem ko bareeqi se dekha ja raha hai aur is zimn mein Washington hukoomat nai Dehli hukoomat par zor deti hai ke mulk mein mazhabi aqlitoun ke haqooq ke tahaffuz ko yakeeni banaya jaye. Americi mehakma e kharja ke ek tarjuman ne kaha hai ke hindustan ko apni jamhoori eqdaar aur aeen ki paasdari ka lehaaz karte hue aqlitoun ke haqooq ka khayaal rakhna chahiye.

Is barey mein jari kardah bayan mein kaha gaya hai ke America shehriat se mutaliq bill ke hawalay se tamam pesh raft par nigah rakhay hue hai. Mazhabi azaadi ka ehtram aur qanoon ke mutabiq sab ke sath yaksaa sulooq dono mumulk ki jamhoritoun ke bunyadi usool hain. Ek sawal ke jawab mein mehakma e kharja ke tarjuman ne kaha hai, America hindustan par zor deta hai ke wo apne aeen aur jamhoori eqdaar ka lehaaz karte hue mulk mein basnay wali mazhabi aqlitoun ke haqooq ka tahaffuz kere. Hindustani parliament manshirat se mutaliq manzoor kiye jane walay bill ke tehat Pakistan, Bangladesh aur Afghanistan se naqal makani karne walay Hindu, Jain, Budh, Sikh, Isaai aur Paarsi mazhab se talluq rakhnay waloun ko hindustani shehriat di ja sakti hai taham musalmanoun ko is mein shaamil nahi kiya gaya hai.

Parliament se manzoori ke baad jumaraat ko is bill par sadar Ramnath Kovind ne bhi dastakhat kar diye. Hindustan mein ek aisay naye qanoon par amal-dar-aamad shuru ho gaya hai, Jis ke tehat mazhab ki bunyaad par shehriat dainay ka rasta khul gaya hai. Is se qabal mazhabi azaadi se mutaliq Americi idaray US Commission International Religious freedom ( USCIRF ) ne is bill par apne gehray tahaffuzaat ka izhaar karte hue kaha ke agar ye bill parliament ke dono aiwanoun mein manzoor kar liya jata hai, To Americi hukoomat ko hindustan wazeer e dakhla Amit Shah aur deegar ahem qayadat par pabandi aed karne par ghhor karna chahiye.

Americi idaray ne is bill ko ghalat simt mein khatarnaak moud qarar dete hue kaha ye hindustan ki Secular, Rawadaar aur takserat ki shandaar tareekh aur mulki aeen ke manafi hai, Jis mein mazhab-o-millat se balatar qanoon ki nazar mein sab ko barabar qarar diya gaya tha. Is ke jawab mein hindustani wizarat kharja ne kaha tha ke har mulk ko apne shehrioun ke adaad-o-shumaar ke sath is ki towseeq karne ka haq haasil hai aur mutadid policies ke tehat usay un ikhtiyarat par amal karne ka haq bhi hai. Oppostion jamaten, Insani haqooq ki alambardar tanzeemen, Samaji karkun aur danishwaroun ki janib se mazhab ki bunyaad par shehriat dainay ki sakht mukhalfat ho rahi hai aur is ke khilaaf kayi reyastoun mein ehtajaji muzahiray bhi jari hain. –YTN STAFF