Saturday, May 4, 2024
HomeSliderAqliati rehaishi taleemi idaron ko hukoomat ki ijazat ka intezaar

Aqliati rehaishi taleemi idaron ko hukoomat ki ijazat ka intezaar

Hyderabad: Riyasat mein aqliati rehaishi taleemi idaron ki Society Schools ko dobarah shuru karne ke khwahan hain taham mulk mein Covid-19 ke badhatay hue waqeat ke darmiyan 21 September se bohat si reyaston mein School khul gaye hain taham bohat saari reyasti hakoomaten is wabai amraaz ke mabain mulk bhar mein phelnay taaza mamlaat ke darmiyan taleemi idaray kholnay mein hichkichahat ka shikaar hain. Mazeed yeh ke bachon ke walidain is virus se mutasir honay ke khauf se bachon ko school bhejnay ke baray mein koi thos faislay karne se qassar hain. Darin asna markazi hukoomat ne Schools aur Colleges samait tamam taleemi idaron ko kholnay ke qawaid ki tameel karte hue Unlock 5. 0 ki hidaayat nama jari kiya.

Riyasat mein SC, ST, BC, Aqliati rehaishi taleemi idaron ki Society Schools ko dobarah shuru karne ke khwahan hain taham yeh Societies badi shiddat se reyasti hukoomat ki ijazat ke muntazir hain. Yeh idaray naveen Class, SSC aur Intermediate ke talba ke liye Classes dobarah shuru karne ko tarjeeh day rahay hain. Qawaid ke mutabiq rehaishi Schools mein padhany walay talba ko 14 din tak Quarantine mein rakha jaye ga. Baad mein agar un mein coronavirus ki koi alamat nahi hai to inhen classes mein bheja jaye ga. Agar un ke paas sehat se mutaliq koi masla raha to unhein ilaaj faraham kiya jaye ga.

Talba ko jismani faaslay barqarar rakhnay ke qabil bananay ke liye pehlay kuch talba ko classroom mein tafseelaat ​​faraham ki jayen gi. Baad mein kuch deegar talba ko classroom ke andar jane ki ijazat hogi. Quarantine muddat ke douran ek jagah par talba ko jama karne se roknay ke liye iqdamaat uthaye jayen ge. 2020-21 ke dakhlay SC, ST aur BC rehaishi taleemi idaron mein mukammal nahi hue hain aur uskay liye Enters test yakam November ko hoga.

Minority Residential Education Society mein panchwin jamaat ke talba ke liye online classes lainay ke khwahan hain. Society Coronavirus ke pesh-e-nazar rehaishi Schools mein khusoosi meino ko nafiz karne par ghhor kar rahi hain. Bataya gaya hai ke rehaishi Schools mein jane walay mutadid talba asatezaa se apne shukook-o-shubhat ko daur karne ke liye virus ka shikaar ho rahay hain. Is pas manzar mein Societies ne talba ko ghizaiyat se bharpoor khizayi aur khanay ki farahmi ka faisla kiya hai jo talba ko virus se mutasir honay se rokta hai.