Saturday, May 3, 2025
HomeSliderAPSRTC, JAC ney TSRTC mulazmeen ki hadhtal ki himayat ki

APSRTC, JAC ney TSRTC mulazmeen ki hadhtal ki himayat ki

Hyderabad : APSRTC, Joint Action Committee ke rehnumao ney riyasat Telangana mein apne hum munsibon ki jari ghair muayana muddat ki hadhtal ki himayat ki hai.

Mangal ke roz media numaindon se baat karte hue, APSRTC union ke rehnumao ney mutalba kiya hai ke Telangana hukoomat RTC ke amlay ke tamam mutalibaat ko tasleem kare aur corporation ke mulazmeen ki Falah wo behbood ke liye andhra pradesh hukoomat ki janib se nafiz ki janey wali tamam islahat ko nafiz kare.

APSRTC ke JAC rehnuma thomas reddy ney kaha ke Telangana hukoomat RTC mulazmeen ke mutalibaat ko nazar andaaz kar rahi hai. unhon ney TRS hukoomat se pocha ke RTC kaarkunoun ke mutalibaat mein kiya ghalat hai. unhon ney Telangana hukoomat ko mutnabba kiya ke corporation ki jayedadon ki nijikari ki gayi to awam ko buri tarhan nuqsaan uthana padega. unhon ney yeh bhi kaha ke jari hadhtal ko muashray ke tamam tabqaat ki himayat haasil hai, aur hadhtal guzashta 25 roz se kamyabi ke sath jari hai.

Thomas reddy ney kaha ke ”TRS hukoomat hadhtal ke douran awam ki sahoolat ke liye mutabadil intizamaa karne mein buri tarhan nakaam rahi hai “. thomas reddy ney chaharshambe ke roz, TSRTC JAC ko jalsa aam munaqqid karne ki ijazat se inkaar karne par TRS hukoomat par sakht tanqeed ki. –YTN STAFF