Thursday, April 25, 2024
HomeSliderApple ke sastay Phones muta-arif karne ka elaan

Apple ke sastay Phones muta-arif karne ka elaan

New York: Apple ki janib se jald ek sasta iphone muta-arif kurwaye jaany ka imkaan hai aur ab ye daawa samnay aaya hai ke usay 2 Version mein pesh kiya jayega. GSM Arena ki Report ke mutabiq iPhone 9 ke sath is ka Plus Version bhi muta-arif karwaya jayega jis mein 5.5 Inch Display diya ja sakta hai aur usay iPhone 9 Plus ka naam diya ja sakta hai.

Is mein A 13 Bionic Processor mojood hoga jo is waqt guzashta saal ke iPhone 11 series ke Phones mein bhi mojood hai. Report ke mutabiq IOS 14 ke kuch Codes se is Phone ki tasdeeq huvi hai aur ishara mila hai ke iPhone 9 Series ke phones 2017 ke iPhone 8 aur 8 Plus ke mutabadil honge. iPhone 11 aur iPhone XR ki maqboliat ko dekhte huve company ko tawaqqa hai ke sastay iPhones logoun ki tavajja haasil karne mein kamyaab ho jaienge.

 Dono Phones mein Touch ID Security Option diya jaye ga taham un ko muta-arif karwanay ki tareekh abhi wazeh nahi kyunkay Coronavirus ke nateejay mein China ki sarbarahi mutasir huvi hai. Is se qabal mukhtalif Reports mein bataya gaya tha ke iPhone 9 ko March ke aakhir mein pesh kiya ja sakta hai lekin Coronavirus ke nateejay mein ab usay muta-arif karanay ka mansoobah ghir muyanah muddat tak ke liye multawi kardiya gaya hai.

Wazeh rahay ke iPhone 9 mein 4.7 Inch Screen ka hoga jabkay is ka Design iPhone 8 se milta julta ho sakta hai lekin is mein iPhone 11 mein diya gaya Processor mojood hoga. Is Phone mein 2019 ke iPhones ke beshtar Features mojood honge jabkay qeemat kam rakhnay ke liye sastay LCD Display ko istemaal kiya jayega. Is mein iPhone 8 ki terhan Back par 12 Mega Pixel ka Single Cemra hoga jabkay Front par bhi ek Cemera hoga. Is ke alawa 3G bi RAM ke sath 64 se 128 GB Storage ki sahuliyaat diye jayen ge. –YTN STAFF