New Delhi : Maroof scientist wo mulk ke sabiq sadar jamhooria jinhein ”Missile Man “ ke naam se bhi jana jata hai, marhoom APJ Abdul kalam, ke yom-e-paidaiesh ke mauqa par, mangal ko wazeer-e-aaazm Narendra modi ne inhen yaad kiya aur kharaaj-e-tehseen pesh kiya. Modi ne Twitter par ek video share karte hue kaha ke ”Kalam ne 21 sadi mein qabil-e-hindustan ka khawab dekha aur is simt mein apni ek khusoosi shiraakat banai.
Modi ne mazeed kaha ke ”Kalam ne ek scientist ki haesiyat se, mulk ko oonchai par legaye. un ki zindagi bhar ki koshishen qoum ke liye ek asasa theen. un ke alfaaz nahi balkay unki shakhsiyat bhi bohat kuch kehti thi.
Wahein, markazi wazraa Amit Shah , Rajnath singh aur prakash javadekar ne bhi marhoom qaied ko kharaaj tehseen pesh kiya. Amit Shah ne kaha ke ”Kalam saadgi aur ilm ka Mazhar they, jinhon ne apni poori zindagi qoum ke liye waqf kardi. wahein Rajnath Singh ne kaha ke ”kalam hindustan ke logon ke dilon aur dimaghon mein hamesha zindah rahenge. wazeh ho-ke hindustan ke hisab se APJ Abdul Kalam ke yom-e-paidaiesh ko aalmi ”yom–e-talaba “ ke tor par bhi manaaya jata hai.
Prakash Javedkar ne tweet kiya ”Abdul kalam ke yom-e-paidaiesh ko aalmi ”yom talba “ ke tor par bhi manaaya jata hai. woh ek sachey ustaad they aur talba se pyar karte they, aur unhon ne Indian institute of managment, shillong mein lecture dete hue hi faut hogaye they.
Delhi ke wazeer-e-aala arvind kejriwal ne bhi kalaam ko yaad karte hue kaha ”Unki aajzi aur mukhtalif tabqaat ke liye hamdardi, har hindustani ko mutasir karti hai “.
Mulk ke janay manay scientist APJ Abdul Kalam ne 2002 aur 2007 ke darmiyan hindustan ke 11 sadar ki haesiyat se khidmaat anjaam diya. kalam 15 october 1931 ko Dhanuskotri gaon ( Rameshwaram , tamil nadu ) mein ek Mutwast tabqay ke musalman gharane mein paeda hue they. unka poora naam Abdul faqeer zain ul aabideen Abdul Kalam tha. unke waalid ka naam zain ul aabideeen hai.
Wazeh hoke khalayi uloom ke maidan mein kalaam ki shiraakat ahem rahi hai. unhon ne hindustan ke civilian khalayi programme aur fouji missile taraqqi mein bhi shiraakat ki, isi liye inhen hindustan ka ”Missile Man” ka khitaab mila. July 2015 mein 83 saal ki Umar mean unka intqaal ho gaya. Abdul Kalam ne ba-hasiat science daan, ba-hasiat sadar jamhooria behtareen khidmaat anjaam den aur ba-hasiat qabil-e-shakhsiyat apni qabiliyat ka lauha manwaya tha.
Unke bohat hi oonchay aur aala khayalat they, jin mein insanoun ko ek sabaq, housla milta hai. unka kehna tha ke ”sab se behtar kaam hai, kisi Insaan ko khush karna, kisi bhukay ko khana khilana, zaroorat mandoun ki madad karna, ghumzdaa afraad ka gham halka karna aur zakhmion ki khidmat karna“.
Missile Man APJ Abdul Kalam ek aisi shakhsiyat they jinhein mulk ka har shehri chahta hai aur apne dilon mein basaya hua hai, woh isi tarhan sadiiyon tak hindustaniyoun ke diloun mein zindah rahenge. –YTN STAFF