Monday, October 14, 2024
HomeSliderAP mein Petrol aur Diesel mein 2 rupay ki kami

AP mein Petrol aur Diesel mein 2 rupay ki kami

Hyderabad. Aik badi tabdili mein Hukoomat e Andhra Pradesh ney peer ko Petrol aur Diesel ki qeematon mein 2 rupay ki kami kar di hai. Naayi qeematon ka itlaq mangal se hoga. Chief Miniter Mr. Chandra Babu Naidu ney aaj dopehar eendhan ki qeematon par nazar e saani ka elaan kiya. Mulk bhar mein aaj Petrol aur Diesel ki qeematon mein izafah ke khilaaf aaj manaye gay Bharat Band ke dauran Andhra Pradesh ke awam ko qeematon mein thodi si raahat mili hai. Hukoomat Rajasthan ney bhi itwaar ko eendhan par Vat mein 4% takhfeef kar di thi aur is par nisf shab se amalaawri bhi hogayi thi, jis ke baais Petrol aur Diesel ki qeematon mein 2.5 feesad ki kami aayi thi. Mr. Chandra Babau Naidu ney aik aala sathi ijlaas ke baad Petrol aur Diesel ki qeematon mein takhfeef ka elaan kiya. Mr. Chandra Babu Naidu ney kaha ke Markazi Hukoomat, Petrol aur Diesel ki qeematon mein be tahasha izafah ko khaam tail ki qeematon par mahmool karte huwe awam ko gumraah kar rahi hai. Unhon ney kaha ke 2013-14 ke douran khaam tail ki qeematein fi Barail 105. 52 barrel dollar thi lekin jab khaam tail ki qeematein gir kar 46 dollar tak pahonch gayi theen tab bhi markaz ne Petrol aur Diesel ki qeematon mein takhfeef nahi ki. Ab khaam tail ki qeemat fi barrel 70 dollar hai lekin markazi hukoomat rozana Petrol aur Diesel ki qeematon mein man maani izafah kar rahi hai. Mr. Chandra Babu Naidu ney kaha ke un ki Hukoomat ney qeematon mein izafah se awam ko honay wali dushwardariyon ko mehsoos karte huwe Petrol aur Diesel par VAT ki sharah mein kami karte huwe apni riyasat ke awam ko juzwi raahat dainay ka faisla kiya hai, jis se reyasti khazana par 1,120 crore rupay ka izafi boojh ayed hoga.