Friday, May 17, 2024
HomeIndiaAP mein 15 October se Collages kholnay ka faisla kiya

AP mein 15 October se Collages kholnay ka faisla kiya

Amravati: Hukoomat AP mein 15 October se Collages kholnay ka faisla kiya. Wazeer-e-aala YS Jagan Mohan Reddy ne aala ohdedaron ke sath ek jaiza ijlaas munaqqid kiy jis mein ahem faislay liye gaye. Wazeer-e-aala ne hadaayat di ke September mein Joint Entrance imthehaan munaqqid kiya jaye. Unhoun ne hukkaam ko hidaayat di ke un Collages ke khilaaf sakht karwai ki jaye jinhon ne be-qaadgyan ki hain. Unhoun ne tajweez pesh ki ke talba ka indraaj 90 feesad tak hona chahiye aur teen chaar saala degree course mein 10 mah ki Internship di jaye. Unhoun ne riyasat ki universition ke liye Assistant Professor ki taqarruri ko bhi hari jhandi dikhayi hai. Unhoun ne kaha ke Fees ki baaz-adaegi ke zareya aala taleem ki himayat ki jarahi hai.

Is se talba ke dakhlon ke tanasub mein barray pemana par izafah hoga. Unhoun ne kaha kay nisaab mein tabdeeli layi jani chahiye aur Internship ko degree course mein shaamil karna chahiye. teen sala degree course mein 10 mah ki Internship ko bhi shaamil kiya jaye. Sath hi ek sala skill development ki tarbiyat di jaye jis ke baad degree Honors ke liye ghhor kiya jaye. Unhoun ne kaha ke chaar sala vocational course ke liye bhi 10 Mah ki laazmi Internship honi chahiye. Unhoun ne nishandahi ki ke hukoomat puranay medical Collages ki imaarton ki murammat ke liye 6000 rupiye sirf kar rahi hai.