Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaAP mein 12 azlaa honge. Kabeena ney Committee manzoor karli

AP mein 12 azlaa honge. Kabeena ney Committee manzoor karli

Amravati: AP kabeena ka ajlas aaj wazeer e aala YS Jagan Mohan Reddy ki sadarat mein Secretariat mein munaqqid huwa jis mein riyasat mein 25 azlaa ke qiyam ke masla par tabadlah khayaal kiya gaya. Ye ijlaas taqreeban 2 ghantay jari raha jis mein mukhtalif umoor par tafseeli tabadlah khayaal kiya gaya taham riyasat mein azlaa ki tadaad 25 karne ka maslah bhi chaya raha. Sath hi YSR Cheyutha Scheme par amal, BC, SC, ST aqliati khawateen ko maali madad ke liye scheme par bhi tabadlah khayaal kiya gaya. Riyasat mein azlaa ki mojooda tadaad 13 hai. Naye azlaa ke qiyam ka amal aindah saal 31 March tak mukammal karliya jaye ga. Naye azlaa ki sarhadat parlimani halqoun ki sarhadat ke lehaaz se hon gi. Is maqsad ke liye ek committee ki manzoori bhi di gayi hai. Ye committee Chief secretary ki sadarat mein kaam keregi

Wazeer e aala neh intikhabi wada ke mutabiq naye azlaa ke qiyam ke amal ka aaghaz kiya hai. Hukoomat neh naye faisla ke mutabiq 13 azlaa ki tanzeem jadeed ki jaye gi aur in ki tadaad ko badha kar 25 kardiya jaye ga. Naib wazeer e aala Pilli Subhash Chandrabose neh kaha ke naye tashkeel shuda Araku zila mein kaafi Geographical ilaqa hai. Wazeer e aala neh nishandahi ki ke Araku zila 4 azlaa par phela huva hai. Is pas manzar mein unhoun neh hukkaam ko hidayat di ke wo Araku ko 2 azlaa mein taqseem kiya jaye. Unhoun neh kaha ke pasmandah ilaaqoun ki taraqqi ke maqsad se naye azlaa tashkeel diye jarahay hain.