Friday, May 10, 2024
HomeIndiaAP ke Karnool zila ke Srisailam Project mein aabi satah mein batadreej...

AP ke Karnool zila ke Srisailam Project mein aabi satah mein batadreej izafah

Karnool: Karnataka aur dareaye Krishna ke aabger ilaaqoun mein musalsal barish ke nateeja mein AP ke Karnool zila ke Srisailam project mein aabi satah mein batadreej izafah hota jaraha hai. Is Reservoir mein Jurala project  se 78,899 cusecs  pani aaya jabkay Handrineva project se 1100 cusecs  pani is project mein aaya. Mojooda tour par Srisailam project ki satah 820.20 Feet darj ki gayi. Is ki TMS mein aabi gunjaish 40.9904 hai. Srisailam Reservoir ki mukammal satah aabb 885 Feet aur 215 TMC hai.

Hukkaam ne kaha ke agar pani isi terhan musalsal aata raha to ye Reservoir androon 10 din labraiz hojaye ga. Doosri taraf almati Dam mein 27000 cusecs  pani ka bahao darj kiya gaya jis ke baad is se 46 hazaar cusecs  pani choda gaya. Isi terhan Narayanpur Dam se 45000 cusecs  pani choda gaya. Dareaye Krishna mein pani ke bahao mein musalsal izafah ke sath hi apar aur lower Jurala  Handrineva power plants mein bijli ki pedawar shuru kar di gayi hai. Upper Jurala Hydroelectric Power Station  ke 4 units aur Lower Jurala Hydroelectric Power Station  ke 5 unit mein bijli ki pedawar shuru kar di gayi hai.