Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaAP ke dar-ul-hukoomat ke masla par kisanon ka ehtijaj jari

AP ke dar-ul-hukoomat ke masla par kisanon ka ehtijaj jari

Amravati: AP ke dar-ul-hukoomat Amravati ke kisanon ka ehtijaj jari hai. Kisanon ny 235 we din bhi apni zanjeeri bhook hadtaal jari rakhi jis mein kisanon ki badi tadaad bashmool khawateen ny hissa liya. Un ahtjajyon ny hukoomat ke khilaaf naaray lagaye. Amravati ko intizami dar-ul-hukoomat ke tour par barqarar rakhnay par zor dete hue unhoun ny YS Jagan Mohan Reddy zair-e-qayadat hukoomat par zor diya ke riyasat ke liye 3 dar-ul-hukomton ki zaroorat nahi hai. Unhoun ny media se baat karte hue daawa kiya ke hukoomat is masla par sanjeeda nahi hai, 29 hazaar kisanon ny 33 hazaar Acre araazi riyasat ke naye dar-ul-hukoomat ki taamer ke liye di hai, Wo is masla par Supreme Court se bhi rujoo huve.

Reyasti hukoomat par apni barhami ka izhaar karte hue unhoun ne ilzaam lagaya ke reyasti aur markazi hukoomaton ka is masla par gath jood hogaya hai. Reyasti hukoomat ko beshtar bijli ke projects aur Infrastructure par baat karne ka haq nahi hai. Unhoun ne daawa kiya ke reyasti hukoomat imandari aur saakh se aari hai. Markazi hukoomat ki zimma daari hai ke wo Amravati ke masla par ghhor kere jis ne mutahidda AP ki taqseem ke zareya Telangana ki tashkeel ke mauqa par Telangana ki himayat ki thi. Unhoun ne kaha kay markazi hukoomat ne riyasat ke kisanon ke sath daghabazi ki hai. Unhoun ney nishandahi ki ke ek taraf party ke leader GVL Narsimha Rao ek baat karte hain to doosri taraf Som veer Raju ek baat karte hain. Zafrani jamaat mein bharosa ki kami hai.