Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaAnushka Sharma ab Hindustani bowler Goswami ka kirdaar ada karen gi

Anushka Sharma ab Hindustani bowler Goswami ka kirdaar ada karen gi

Mumbai: Hindustani cricket team ke captain Virat Kohli ki batting ki qaail poori duniya hai. Ab un ki ahliya aur bollywood adakara Anushka Sharma bhi cricket ke maidan par uturney jarahi hain. 2018 mein Shahrukh Khan ke sath film zero mein nazar ayen Anushka Sharma ab ek film mein kaam kar rahi hain, Jo hindustani khawateen cricket team ki sabiq captain aur fast bowler Jhulan Goswami ki zindagi par ban’nay wali film hogi. Social media par Anushka Sharma ki kuch taswerain samnay aayi hain.

Un mein wo cricket ke maidan mein film ki shooting karti hui nazar aa rahi hain. Halaanke abhi is film ka bazabta tor par elaan hona baqi hai. Social media par Anushka Sharma ke fans Club ki taraf se samnay ayen Anushka Sharma ki cricket ke maidan mein shooting karne ki tasweeroun mein wo sabiq hindustani khawateen cricket team ki captain Jhulan Goswami  ke andaaz mein nazar aa rahi hain. Unhoun ne hindustani team ki jarsi pehani hui hai. Reports ke mutabiq Anushka Sharma ne Kolkata ke Eden garden mein 10 deegar khiladioun ke sath film ka ek manzar bhi film band kiya hai.

ye bhi kaha ja raha hai ke film ka promo shot 25 January ko kiya jaye ga. Wazeh rahay ke Anushka Sharma 2018 mein Shahrukh Khan ke sath film zero mein nazar aayi Then is ke baad wo kisi film mein nahi nazar ayen aur is terhan ki afwaah phaily thi ke Anushka Sharma bollywood chode rahi hain. Taham unhoun ne is par rad-e-amal bhi zahrkiya tha. Unhoun ne kaha mein guzashta 3  saal se fashion Industry mein kaam kar rahi thi. Ye kaafi thakanay wala tha. Anushka Sharma ke ilawa bollywood adakara Taapsee Pannu bhi cricket par mabni film mein kaam kar rahi hain. Ye film hindustani khatoon cricketer Mithali Raj ki zindagi par ban’nay wali film hai. Is film ka naam Shabash Mithu hai. Aisay mein dono filmoun ke darmain muqaabla dekhnay ko mil sakta hai. –YTN STAFF