Monday, April 21, 2025
HomeSliderAnrich Nortje ke nam IPL ki taiz tareen gaind ka Record

Anrich Nortje ke nam IPL ki taiz tareen gaind ka Record

Dubai: Delhi Capital ke janoobi Africi fast bowler Anrich Nortje ne IPL ki tareekh ki taiz tareen gaind phainknay ka Record apne naam karliya hai. 26 sala Nortje ne Rajasthan Royals ke khilaaf 156.22 kilometer fi ghanta ki raftaar se gaind daali jo IPL ki tareekh ki sab se teez tareen gaind ban gayi. Nortje ne is match mein 33 runs day kar 2 wickets haasil kee jabkay Delhi ne yeh match 13 runs se jeeta jis mein woh Man Of The Match rahay.

Nortje ne is kamyabi ke baray mein kaha ke inhen is waqt is sang mial ke baray mein maloom nahi tha aur woh match ke baad hi jaan paye ke unhoun ne IPL ki tareekh ki taiz tareen gaind daali hai halaank Jos Buttler ne is taiz tareen gaind par fine league ki simt 4 runs maaray taham Nortje ne agli hi gaind par Buttler ku 22 ke infiradi score par Bold Out kardeya. Nortje ne kaha ke mujhe maloom nahi tha ke mein ne 156 kilometer ki raftaar se bowling ki hai. Yeh sun kar khushi hui. Mein taiz bowling karte hue stump ko nishana bananay ki koshish kar raha tha. Hamaray paas achay coach hain aur Kagiso Rabada aur deegar fast bowlers ke sath mil kar kaam karne mein lutaf andoz ho rahay hain.

Nortje ne is match mein pehlay 155.21 aur 154.74 kilometer fi ghanta ki raftaar se bhi bowling ki thi. Nortje ne is muamlay mein apna hi record toad diya. IPL ke is Tournament se pehlay sab se taiz gaind phainknay ka record janoobi Africa ke hi Dale Steyn ke naam tha. Steyn ne 2012 mein Deccan Charges ke liye khailtay hue 154.5 kilometer fi ghanta ki raftaar se gaind pehnki thi. Season shuru honay se pehlay Delhi Capital ne Nortje ko England ke All Rounders  Chris Vokes ki jagah shaamil kiya tha. Nortje ne IPL 2020 mein ab tak 8 matches mein 10 wickten haasil ki hain. IPL ki tareekh ki ab tak ki 5 taiz tareen ginden ka Record mein ibtidayi 3 maqamat par Nortje hi hain. Anrich Nortje. 156.2 kilometer fi ghanta, Anrich Nortje 155.2 kilometer fi ghanta, Anrich Nortje. 154.7 kilometer fi ghanta, Dale Steyn. 154.4 kilometer fi ghanta, Kagiso Rabada 154.2 kilometer fi ghanta.