Hyderabad : Andhra pradesh mein jagan reddy hukoomat ki janib se hukoomat ke kuch Tenders ko khatam karne aur Sabiqa TDP hukoomat ki taraf se liye gaye tamam faislon par nazar sani ney tamam ahem mansoobon par kaam rok diya hai, jis se reyasti maeeshat par uskay asraat ka khadsha paeda hua hai. jab se riyasat mein intikhabi mahol bana, tab se dar-ul-hukoomat Amaravati aur mega aab paashi project Polavaram ki taraqqi ke mukhtalif ajzaa par kaam sust rawi ka shikaar hua.
YSRCP ke bhaari aksariyat ke sath iqtedar may aaney aur Chandrababu naidu hukoomat ke tamam faisloun par nazar sani ka elaan karne ke baad, tamirati sargarmia rukawat ka shikaar hogayeen.
Andhra Pradesh tanzeem nou act 2014 ke tehat Polavaram qaumi project hai aur markaz ke zareya is ki maali eaanat ki ja rahi hai aur riyasat ke zareya daraamad kiya ja raha hai. markaz ney Vijaywada ke qareeb dareaye krishna ke kinare amaravati ki taraqqi ke liye maali eaanat ki bhi yaqeen dehani karai thi .
Chandrababu naidu ke tayyar kardah mansoobon ke mutabiq, amaravati ki teen marahil mein taraqqi ke liye daidh laakh crore rupiye ki zaroorat hai. jab intikhabi schedule ka elaan kiya gaya tha, is waqt 35, 000 hazaar crore rupiye ke kaam jari the. nai hukoomat ke zareya Polavaram ke ek kaam ke muahiday ki mansookhi aur amaravati ke liye diye janey walay maahdon par nazar sani ney ghair yakeeni sorat-e-haal paeda kardi, aur sarmaya-car tabqa ke darmiyan khadshaat ko janam diya.
Tajzia Telakapalli Ravi ka kehna hai ke nai hukoomat ke is iqdaam se sarmaya kaari ke mahol ko mutasir karna shuru kar diya hai. Ek aur tajzia-car P.Raghava Reddy ka khayaal hai ke fouri Reverse tendering tor par sarmaya karon ko khauf-zadah nahi karegi, lekin policy ke tasalsul ki Adam farahmi ki wajah se aetmaad ke Ansar mein kami ayegi.
YSRCP hukoomat ney guzashta 2 , dhai mahino mein elaan kiya hai ke taqreeban pachaas hazaar crore rupiye darkaar hain. TDP ke rehnuma aur sabiq wazeer Somireddy Chandramohan Reddy ka khayaal hai ke hukoomat ke iqdamaat se paeda honay wali ghair yakeeni sorat-e-haal, riyasat ki maeeshat ko nuqsaan pohnchayegi. –YTN STAFF