Friday, May 10, 2024
HomeIndiaAmravati ka mamla reyasti hukomat ke daira ikteyar mein

Amravati ka mamla reyasti hukomat ke daira ikteyar mein

Amravati: Markaz ney aaj AP ke dar-ul-hukoomat ke masla par reyasti High Court mein halaf nama daakhil kiya aur dawa kiya ke ye maamla reyasti hukoomat ke daira ikhtiyar mein hai aur is masla se is ka koi lena dena nahi hai. Arzi guzar Mr. PV Krishnaiah ney haal hi mein is masla par High Court mein arzi daakhil ki thi aur ilzaam lagaya tha ke dar-ul-hukoomat ke qiyam ka maamlh markaz ke hudood mein hai. Is daawa par adalat ney markaz ko hidayat di thi ke wo tafseelaat ke sath halaf nama adalat mein daakhil kere. Is hidayat par aaj markaz ney adalat mein halaf nama daakhil kare. Is hidayat par aaj markaz ne adalat mein halaf nama daakhil karte hue apne muaqqaf ka izhaar kiya.

Wazeh rahay ke dar-ul-hukoomat ke masla par kayi arzion adalat mein zair-e-eltewa hain. YS Jagan Mohan Reddy zair-e-qayadat reyasti hukoomat nay riyasat mein 3 dar-ul-hukomton ke qiyam ke amal ki shuruvaat ki hai jis ki shadeed mukhalifat asal Opposition Telugu Desam ke sath sath dar-ul-hukoomat Amravati ke kisaan kar rahay hain. Telugu Desam Party jis ko council mein aksariyat hai nay is bill ko manzoori se rokk diya tha taham haal hi mein governor Biswa Bhushan Harichandan nay is Act ko manzoori day di thi jis se Telugu Desam ko ek bada dhakka laga tha.