Saturday, May 4, 2024
HomeSliderAmraaz se ziyada sadak hadsaat se amwaat : Aqwam-e-Mutahidda

Amraaz se ziyada sadak hadsaat se amwaat : Aqwam-e-Mutahidda

Aqwam-e-Mutahidda : Aqwam-e-Mutahidda ke secretary general Antonio Guttures nay sadak hadsaat mein honay wali amwaat par tashweesh ka izhaar karte hue kaha hai ke aalmi taqatoun ko is ke rokk thaam ki simt mein ijtimai koshishen karne ki zaroorat hai kyunkay bimarion se ziyada log sadak hadsaat mein mar rahay hain.

Unhoun nay sadak hadsaat ke mutasireen ko yaad karne ke liye manaye janey walay aalmi din ke mauqa par apne paegham mein kaha sadak hadsaat ko kam karkay awam ki jaan bachana paidaar taraqqi ke 2030 agenda ke kayi maqasid mein shaamil hain. sadak hadsaat mutasireen ki yaad mein mananay janey wala aalmi din is baat par ghour karne ka ek mauqa hai ke hum kis tarhan lakhoun logon ki jaan bacha sakte hain.

Unhon nay kaha ke sadak hadsaat ko kam karna ya un par rok lagana bohat bada challenge hai lekin ijtemai koshish se un hadsaat ko roknay ki simt mein bohat kuch kiya ja sakta hai. Aqwam-e-mutahidda ke sarbarah nay kaha sadak hadsaat ko roknay ke liye fori tor par zaroori iqdamaat karne ki zaroorat hai. is din par mein nay tamam aalmi quwatoun se sadak hadso ki rok thaam ke liye ijtimai koshish karne ki darkhwast karta hon.

Wazeh rahe hai ke 2018 mein aqwam-e-mutahidda nay kam aur darmiyani aamdani walay mumalik mein road safety fund shuru kiya tha jahan taqreeban 90 feesad sadak hadsaat runuma hotay hain. –YTN STAFF