New Delhi : Wazeer-e-azam Narendra Modi ney apni nai kabeena ke arakeen ke mehakmon ka aaj elaan kardiya, jis mein apne bharoosay mand BJP ke sadar Amit Shah ko naya wazeer-e-dakhla aur guzishta daur-e-hukoomat mein wazeer-e-dakhla rahay Rajnath singh ko wazeer-e-difaa banaya gaya hai .
Aaj dopehar malena naye wuzra mein sabiq wazeer difaa Nirmila sitharam ko Arun jaitley ki jagah wazeer-e-khazana ki ahem zimma daari saumpi gayi hai. jaitley ney kharab sahet ki wajah se wazeer ban’nay se inkaar kardiya tha. Sushma Swaraj ki jagah sabiq kharja secretary S Jai Shankar ko naya wazeer-e-kharja banaya gaya hai. Swaraj bhi kharab sahet ki wajah se is martaba intikhabaat may khadi nahi hui theen. guzashta hukoomat mein dehi tarqiyat ke wazeer rahay Narednra singh tomor ko puranay mehakmay ke sath wizarat-e-zaraat ki bhi zimmedaari saumpi gayi hai .
Uttarkhand ke sabiq chief Minister Ramesh Pokhriyal Nishank ko insani wasail ki taraqqi ki wizarat, Piyush Goel ko railway, tijarat, Nitin Gadkari ko shahrah, transport aur darmiyani, choti aur bohat choti sanaton ( MSMA) ki wizarat, Dharmendar Pradhan ko petroleum aur steel aur Ravi Shankar prasad ko ittilaaat wo nashriyat aur wizarat-e-qanoon ka zimma sompa gaya hai .
wuzra-e-mumalikat mein VK Singh ko wizarat-e-kharja se hatakar sadak transports aur high ways ki wizarat ki zimmedaari di gayi hai. Arjun Ram Meghwal parlimani umoor ki wizarat mein hasbe sabiq rahenge lekin unse aabi wasail ki wizarat leker heavy industry aur public enterprises ki zimma daari di gayi hai .
Bihar se anay walay Neeta nand raye ko wazeer mumlikat dakhla ki ahem zimmedaari di gayi hai. pehli martaba wazeer banaye gaye Anurag Thakur ko wizarat-e-khazana aur corporate ke umoor mein wazeer mumlikat banaya gaya hai. guzashta hukoomat mein food processing industry ke wazeer mumlikat rehne wali Sadhvi Niranjan Jyoti ko dehi tarqiyat ki wizarat di gayi hai .
Chattisgarh ki rukan-e-parliment Renuka singh ko qabaili umoor ki wizarat ki zimma daari di gayi hai. maghribi bangal se muntakhib Deboshree Chowdhury ko khawateen wo atfaal ki behbood ki wizarat mein wazeer mumlikat ka charge diya gaya hai. kabini wuzra may harsimrat kaur badal , thawar chand gehlot aur Muqtaar Abbas naqvi, azadana charge walay wuzra mumlikat mein DR jitendar singh, Inderjit singh aur Santosh Gangawar aur wuzra mumlikat mein krishan pal gurjar, ashwini choubey, Ram daas aur Parshottam Rupala ke mehakmay hasb sabiq rakhay gaye hain. –YTN STAFF