Saturday, April 27, 2024
HomeIndiaAmit Shah ki Parliament se Hindustanyoun ko gumraah karne ki ek aur...

Amit Shah ki Parliament se Hindustanyoun ko gumraah karne ki ek aur koshish

New Delhi: Saari duniya jahan CoronaVirus se pareshan hai to Hindustan ko CoronaVirus ke alawa jin deegar Virus ki wajah se khauf ke aalam mein zindagi guzarni pad rahi hai wo shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) aur NPR ka Virus hai. Un Virus ki wajah se Hindustani awam ki ek badi aksariyat ko khauf hai ke un ka shehriat chean li jaye gi aur inhen herasti marakaz mein be yar omadadgar chhodh diya jaye ga, Halaank jumaraat ko wazeer e dakhla Amit Shah ne Parliament mein ye bayan diya hai ke NPR ke liye koi dastawizaat talabb nahi kiye jayen ge aur na hi kisi shehri ke form mein mashkook nahi likha jaye ga.

Shehriat Tarmeemi Qanoon ( CAA ) ke baad qaumi abadi Register ( NPR ) ka bhi mulk ki kayi reyaston mein pur zor mukhalifat ho rahi hai. NPR ke mutaliq kaha ja raha hai ke is mein awam se shehriat se mutaliq kaghzat mangay jayen ge aur na dainay par unhein D yani mushtaba shehri qarar diya jaye ga. Isi maslay par jumaraat ko zair dakhla Amit Shah ne Rajya Sabha mein taqreer ki aur kaha ke NPR se kisi ko darnay ki koi zaroorat nahi hai. Is mein kisi ko D qarar nahi diya jaye ga. Lekin tarmeem shuda shehriat qanoon aur NRC ki Chronology samjha kar Parliament ke sath sath pooray mulk ko warghulanay walay wazeer e dakhla Amit Shah ne ek martaba phir Parliament se mulk ko gumraah karne ki koshish ki hai. Darasal NPR jis 2003 ke shehriat qanoon ki tarmeem ki bunyaad par horaha hai, Isi mein logoun ko mushtaba batanay ki sahoolat hai.

Darasal wizarat dakhla ke zareya Decemeber 2003 ko jari shehriat qanoon ke aalamia mein hi mushtaba ( Doubtful ) logoun ke baray mein saaf saaf sahoolat ka zikar hai. Shehriat Act mein jode gaye shehriat qanoon 2003 ke Section 4 mein saaf kaha gaya hai ke asnadad ke amal ke douran, Aisay ashkhaas ki tafseel, Jin ki shehriat mushtaba ya mashkook hai, Ko muqami Registrar ke zareya agay ki jaanch ke liye abadi Register mein munasib tabsarah ke sath darj kiya jaye ga. Is qanoon se hi wazeh hai ke NPR mein muqami Registrar kisi ki shehriat mushtaba paye janey par agay ki jaanch ke liye is ki Entry munasib tabsarah ke sath darj kere ga. Is se bilkul saaf hai ke Amit Shah ne tarmeem shuda shehriat qanoon aur NRC ki hi terhan ek baar phir Parliament se mulk ko gumraah kiya hai.

NPR ke qawaneen se jo baat samnay aa rahi hai, Is se Amit Shah ke bayan par sawal khaday hotay hain. Hindustan bhar mein NPR ke mukhalifat hora hee hai is ki ye hi wajah hai NPR ke zareya hi BJP apne maqasid ke husool ki tayari mein masroof hai jis par kayi danishwaroun aur mahireen roshni daali hai. Aaj All Indian Milli Council ke qaumi naib sadar Maulana Anis Ur Rehman Qasmi ne ek ehtajaji Rally se khitaab ke douran kaha hai ke RSS zehniat ki haamil mojooda hukoomat Hindustan ke Secularism  aur jamhori dhanchay ko khatam karne ki mansoobah bandi kar chuki hai. Jin logoun ke aaba o wajdad aur akbareen ne apni jaanun ki baazi laga kar is mulk ku zulm Angrazeo ke chungal se aazad karwaya inhein ku aaj RSS ki puja karne walay mulk ke gaddar qarar dete hain. Asal tu yahi gaddar loog hain jin ke aaba o wajadad ne Mahatma Gandhi ka qatal kiya.

BJP hukoomat ne guzashta 6 saal mein Hindustani ayeen mein tarmeem karkay darjanoun khilaaf dastoor qanoon banaye hain lekin un mein sab se khatarnaak mojooda mutanazia shehriat tarmeemi qanoon hai aur is ke badas se bhi ziyada khatarnaak isi saal ke ma April se pooray mulk mein nafiz honay wala qanoon NPR hay ju darasal NRC ka chor darwaza hai. Un dono qawaneen se sab se ziyada nuqsaan Hindustan ke ghareeb aur pasmanda tabqay hunga.

Ghir Muslim Dalit aur dosre tabqaat ki tu mushkile kuch barsoun tak rehne ke baad inhen Hindustan ki shehriat dobarah mil jaye lekin Muslim pasmandah tabqa ke ziyada tar loog be watan qarar diye jayen ge. Is liye Hindustanyoun ko is kalay qanoon ke khilaaf taweel tehreek chalani hogi aur in qawaneen ke nuqsaan se dalit aur bechde tabqay ke afraad ko bhi aagah karna hunga take un ke sath milkar tehreek ku chalana Secular Hindustanyoun liye asaan ho. Hindustan mein azaadi ke bad kisi na kisi mutalbe ku lay kar hazaroun thireke chalaye gayen lekin kisi tehreek mein itni badi tadad men khawateen ku ghar se baher nikal kar aawaaz buland karte nahi dekha aur khushi ki baat hai ke is ladai mein badi tadad men baradaran e watan bhi shaamil hain.

Is waqt mulk ki bag daod aise hatoun mein hai jinhein mulk ki taraqqi aur mulk ke awam ki khushy aur aaram o rahat pasand nahi is liye aeye din aisay ghair zaruri qawaneen laaye jarahay hain, Jin se mulk ka har shehiri pareshan hai. Mulk mein ab na rozkar ki baat chal rahi hai, Na adal o insaf ka kahi charcha hai. Mulk mein ab to faqat BJP aur RSS ke karkunaan aur Leaders ki zahrili bolioun ki buchar hurahi hai.

Mutanazia faisloun ke khilaaf kayi ek ahem leaders ne bhi bayanaat deye hain jin mein Maharashtra, Bihar aur Telangana ke alawa maghribi Bengal ke Chief Minister qabil zikar hain. Maharashra ke Chief Minister Uddhav Thackeray ne riyasat mein Maha Vikas Aghadi sarkar ke 100 din pooray honay par ewaan Assembly mein Media numaindoun se guftagu karte huve kaha ke Maha Vikas Aghadi hukoomat ke Senior Leaders ki rabita Committee riyasat mein NPR se jaday mukhtalif phelaoun par ghhor kere gi aur ittehaad mein shaamil tenu hi partiyoun ke Leaders ke rabita Committee ki jo Report aeyegi is ke mutabiq faisla kiya jaye ga. Lekin mein itna zaroor kahu ga ke kisi ko bhi Maharashtra ke shehrioun ke un ki shehriat ko cheennay ka ikhtiyar nahi dunga. –YTN STAFF