Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaAmit Shah ke bayanaat na qabil yaqeen, Syeda Falak ka Shaheen Bagh...

Amit Shah ke bayanaat na qabil yaqeen, Syeda Falak ka Shaheen Bagh se khitaab

New Delhi: Parliament mein markazi wazeer e dakhla Amit Shah ne shehriat tarmeemi qanoon ke zimn mein kaha hai ke NPR ke waqt shehrioun se koi dastawezat talabb nahi kiye jayen ge aur na hi kisi ko mashkook tehreer kiya jayega, Lekin hum Amit Shah par bharosa nahi karte. Un khayalat ka izhaar Hyderabad ki Golden Girl Syeda Falak Shaheen Bagh mein rawan ehtajaji jalsay se khitaab karte huve kiya.

Falak ne ehtijaj mein taweel muddat se shirkat kar rahi khawateen ke housloun aur azayem ko Salam pesh kiya. Unhoun ne kaha ke afaat samawi Coronavirus ki wajah se 4 amwaat par wazeer e azam Narendra Modi ne qoum se khitaab kiya lekin qaumi dar-ul-hukoomat mein sharpasandoun ke ishtial angaiz bayanaat se Delhi fasadaat phoot pade jis mein 54 afraad jabkay Uttar Pradesh mein 21 afraad ki qeemti jaanen gayen lekin aaj tak Modi ne is muamlay mein ek lafz tak nahi kaha. Kya marnay walay Hindustani qoum ke afraad nahi they.

Coronavirus yaqeenan saari duniya ki insanoun ke liye ek khatrah hai lekin ye khatrah kuch waqt ke baad tal jaye ga lekin Hindoustan mein jo nafrat ka Virus phelaya ja raha hai, Usay khatam karna laazmi hai, Warna ye chand afraad ko nahi balkay ye nasloun ko khatam kar dega aur Hindustan ke jamhoori wujood ko mita dega. Falak ne kaha ke ehtijaj mein shaamil ye khawateen Gandhi Jee ke mulk ke eqdaar, Jamhoriat, Ambedkar ke dastoor, Maulana Abul Kalam Azad aur Bhagat Singh ki qurbanioun ke nataij ko barqarar rakhen ge aur Shaheen Bagh inqilab ki ek tasweer ban kar tareekh mein sunehri huroof se apna ehsas hamesha dilaata rahay ga. –YTN STAFF