Tuesday, May 7, 2024
HomeIndiaAmit Shah ka ulta chashma.com

Amit Shah ka ulta chashma.com

AAP ka wazeer e dakhela ko jawab dainay ka anokha tareeqa
New Delhi: Aam Aadmi Party ( AAP ) ne Bhartia Janata Party ( BJP ) ki taraf se phelaaye ja rahay jhoot ka jawab dainay ke liye Amit Shah ka ulta chashma naam se Website muta-arif kar ke tanzia muhim ka aaghaz kardiya hai. AAP ne Amit Shah ulta chashma.com ke naam se ek Website muta-arif ki hai aur is muhim ke zariye wazeer e dakhla Amit Shah ki janib se Kejriwal hukoomat mein koi taraqiyati kaam nahi karne ke aed kiye gaye ilzamaat ka tanzia andaaz mein jawab diya gaya hai.

Website par party ne awam ko batanay ki koshish ki hai ke kis terhan Amit Shah Chief Minister Aravind kejriwal hukoomat ki janib se kiye gaye tareekhi taraqiyati kamoun ko jaan boojh kar dekhna nahi chahtay hain aur is ko nazar andaaz kar ke Delhi ke awam ki tauheen kar rahay hain. Website par party ne School, Hospital, Rain basera, Street Light ki Delhi mein sabiq halaat aur AAP ki hukoomat anay ke baad badlay halaat ki saat taswerain jari ki hain. AAP hukoomat se pehlay aur baad ki tasweeroun mein kaam ka farq saaf nazar araha hai. Website par un tasweeroun ko koi bhi dekh sakta hai. -YTN STAFF