Thursday, May 16, 2024
HomeSliderAmerici wazeer kharja ka dora UAE, Libya tanaza aur Iran ka asro...

Americi wazeer kharja ka dora UAE, Libya tanaza aur Iran ka asro rasookh ahem mozuaat

Dubai: Americi wazeer kharja Mike Pompeo ne Mutahidda Arab Emarat ke ek mukhtasir doray ke douran apne Emarati hum mansab se Libya tanaza aur Irani ilaqai asar-o-rasookh ke khatmay par tabadlah khayaal kiya. Is mah ke douran America ki sarparasti mein ek moahida huwa, Jis mein Mutahidda Arab Emarat Israel ke sath mukammal safarti taluqaat qaim karne par raazi honay wali teesri Arab riyasat ban gayi hai.

America wazeer kharja neh Mutahidda Arab Emarat pounchanay ke baad ek Twit mein kaha ilaqai aman ke liye muahiday ki raftaar ko farogh dainay ki koshish ki hai. Americi wazeer kharja neh is haftay Yaroshallam, Sudan aur Bahrain ka bhi dora kiya hai. Mehakma-e-kharja neh kaha ke Pompeo aur UAE ke wazeer kharja Sheikh Abdullah Bin Zayed Al Nahyan neh Libya mein khaleeji ittehaad aur dairpa jung bandi ki himayat, Khaleeji ittehaad aur khittay mein Iran ke kharab asar-o-rasookh se nimatnay jaisay ahem mozuaat par tabadlah khayaal kiya hai.

America, UAE aur Israel Iran ko mashriq wasti ke liye sab se bada khatrah samajhtay hain, Halaank UAE ney kaha hai ke Israel ke sath sefarti taluqaat ustuwar karne se Tehran se farq nahi pade ga. UAE aur Israeli difaa ke aala ohdedaron ney rawan haftay difai taawun ka moahida kiya tha, Is muahiday se khaleej ko jadeed asleha saazi taq rasai mil sakti hai, Jaissa ke F35 ke astilth ladaka tayyaray jaissa ke is se pehlay inkaar kiya gaya tha.

Americi mehakma-e-kharja ke ek senior ohdedar nay kaha ke Israel aur UAE ke mabain baat cheet jari hai. Emarat ki sarkari khabar rasan agency nay Americi mehakma-e-kharja ke tarjuman Morgan Ortagus ka hawala dete hue kaha hai ke khaleeji mulk ko F35 jungi tayyaray farokht karne ke silsilay mein America, Israel aur UAE ke mabain herat angaiz tor par misbet guftagu ho rahi hai. Abu Dhabi mein hue ijlaas mein UAE ke qaumi salamti ke musheer Sheikh Tahnoon bin Zayed Al Nahyan nay bhi shirkat ki.