Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsAmerici Universities may Be-rooni talba ki dilchaspi may wazeh kami

Americi Universities may Be-rooni talba ki dilchaspi may wazeh kami

Washington: Ek waqt tha jab duniya ke konay konay aur khaas kar Saudi talba Europi jamiyaat ke muqablay may Americi jamiyaat ko tarjeeh dete they lekin ab manzar nama yaksar badal gaya hai aur Americi Universities may Be-rooni talba ki dilchaspi bohat kam hogayi hai jis ki kayi ek wajohaat hain. haliya dinoun may Americi Universities may talba ki dilchaspi ka manzar nama tabdeel ho raha hai. 2018-19 taleemi saal ke douran Americi jamiyaat may Saudi talba ki tadaad 16.5 feesad kam hogayi hai. tafseelaat ke mutabiq International Education Institute ne ek Report jari karkay America ke 2800 se ziyada taleemi idaroun ka manzar nama pesh kiya hai.

Report may bataya gaya hai ke Saudi talba ki Americi jamiyaat may dilchaspi kam honay lagi hai. Saudi hi nahi balkay deegar mumalik ke talba bhi ab itni tadaad may Americi jamiyaat ka rukh nahi kar rahay hain jitna ke maazi may karte rahay hain. sawal ye hai ke Americi jamiyaat may talba ki dilchaspi kam kyun horahee hai? Report tayyar karne waloun ne khabardaar kiya hai ke America ki Business Management Facaltiries may dakhlay ka rujhan kam ho raha hai. iske kayi asbaab hain. ek ahem sabab to yahi hai ke talba ko America may ziyada muddat tak rehne aur kaam karne ke mawaqay mehdood kardiye gay hain.

Dosra ahem sabab ye hai ke Be-rooni talba ke khilaaf nafrat ke rujhanaat badhay hain. teesra sabab ye hai ke Be-rooni talba ki baabat aman-o-salamti ke khadshaat abhare jarahay hain. mukhtalif mumalik ke talba Americi jamiyaat ka rukh is liye bhi kam karne lagey hain kyun kay ab wo Americi jamiyaat may taleem ki masarif aur deegar mumalik may taleemi akhrajaat ka taqabul karkay dekhte hain to inhen deegar mumalik ki jamiyaat taleemi laagat ke hawalay se ziyada behtar aur munasib nazar aa rahi hain. ek aur tabdeeli ye Note ki jarahi hai ke Americi jamiyaat ki hareef jamiyaat ne apne yahan achi khasi islahat ki hain.

Ek aur bada sabab ye bhi hai ke jin mumalik ke talba Americi jamiyaat ka rukh kar rahay they khud un ke mumalik may achi jamiyaat khul gayi hain. Report may bataya gaya hai ke 2019 ke mausam khizaa ke douran America ke 500 se ziyada taleemi idaroun may indraaj ki sharah 0.9 feesad tak kam hui hai. Report may bataya gaya hai ke Business Managment ke muqablay may Computer Science aur rayazi may dakhloun ka rujhan ziyada hai. Engineering may bhi achi khasi tadaad America poanch rahi hai. –YTN STAFF