Thursday, May 16, 2024
HomeLatest NewsAmerici School may Firing, 4 afraad halaak

Americi School may Firing, 4 afraad halaak

California: Americi riyasat California ke shehar Los Angeles may waqay High School may firing ke nateejey may kam az kam 4 afraad halaak hogaye. francesi khabar-rasan idaray EFPK report ke mutabiq Los Angeles ke shumal se 65 kilometer ke faaslay par Santa Clarita ke ilaqay may waqay Saugus High School may firing ke nateejay may bachoun may khauf-o-haras phail gaya tha.

firing ke fori baad Police aur Ambulance ne School ke ilaqay ko ghairay may leliya tha. Los Angeles country sheriff Alex ne samaji raabtey ki Website twitter par jari kardah bayan may kaha ke Saugus High School may huvi firing ke mushtaba mulzim ko giriftar karliya gaya hai jo is waqt ek muqami dawakhane may zair-e-ilaaj hai. muqami Media ki reports ke mutabiq mushtaba mulzim Asiayi tha jis ki umar 15 saal thi.

Valencia ke ilaqay may waqay Henry Mayo Hospital ke hakkaam ne kehna hai ke wo High School ke 4 zakhmioun ka ilaaj kar rahay hain jin may se 3 ki haalat tashweesh-naak hai. Police tarjuman ne muqami nashriyati idaray se guftagu karte huve khabardaar kiya ke ye wazeh nahi ke firing ke waqeye may tamam mutasireen ka pata laga liya gaya, unhoun ne bataya ke ek hathyaar bhi qabzay may liya gaya hai. qabal azeen Santa Clarita sheriff Department ne twit kiya tha ke unke khayaal may firing ke waqeye may sirf mushtaba  shakhs mulawis tha. White House ke tarjuman ne kaha ke saddar Donald Trmup is hawalay se jari reports ki nigrani jari hai.

 

NBCC jari fazai Video may dekhaya gaya ke haath uthaye talba ko Police ohdedaroun ki hamrah School se nikaltay huve aur qareebi Charch ki janib jatay huve dekha gaya. School ke ek taalib-e-ilm ne Los Angeles times ko bataya ke wo School puhanche hi they ke unhoun ne apne sathiyoun ko bhagte huve dekha to unhoun ne apne ek dost ko call kiya jo deegar 5 talba ke hamrah class room may choup raha tha.

Taalib-e-ilm ne kaha ke may hamesha pareshan raha hon ke aisa kuch kabhi hoga aur kaha ke School ko chand baras qabal khadshaat ke pesh-e-nazar band bhi kiya gaya tha. unhoun ne kaha ke Saugus High School ne hamesha mohtaat rehne ki ahmiyat par zor diya hai ke kisi Shooter jaissa koi waqea pesh aasakta hai. California ki Senator aur 2020 ke intikhab may Democratic umeed waar Kamala Harris ne twit kiya ke wo School ka sun kar bohat dukhi huvien aur dua go hain. unhoun ne kaha ke hamaray bachoun aur Community ko dehshat gardi ka nishana banaya ja raha hai, hum usay qubool nahi kar saktay. –YTN STAFF