Thursday, May 9, 2024
HomeSliderAmerici sadarti intikhabaat par China asar andaaz

Americi sadarti intikhabaat par China asar andaaz

Washington: Americi hassas idaray ke aala ohdedar nay khabardaar kiya hai ke Americi sadaarti intikhabaat par asar andaaz honay ki China ki koshisho mein izafah ho raha hai. Francesi khabar rasan idaray nay Americi hassas idaray ke ohdedar ka hawala dete hue kaha hai ke China November mein honay walay Americi sadaarti intikhabaat mein sadar Donald Trump ka dobarah intikhab nahi chahta.

Americi National Counter Intelligence aur security ke William Evanina ke mutabiq China ke nazdeek sadar Trump mutazalzal aur ghair mutawaqqa shakhsiyat ke maalik hain. Director William Evanina ki janib se jari bayan mein kaha gaya hai ke rawan saal November mein honay walay sadaarti intikhabaat se pehlay hi China ny apna asro rasookh phelana shuru kar diya hai taakay un Americi siyasat daano par dabao daal sakay ju China ke mafadaat ke khilaaf hain.

unhoun nay kaha ke China nay sadaarti intikhabaat ki muhim par asr andaaz honay ki gharz se sadar Trump ke coronavirus se nimatnay ki policy, America mein cheeni Consulate ki bandish, Aur Hong Kong aur janoobi cheeni samandar par Americi moaqqaf ko tanqeed ka nishana banaya hai. Americi counter intelligence director ke mutabiq China samjhta hai ke wo un tamam tar koshisho ke zareya Americi sadaarti muhim par asrandaz ho sakta hai.

Sadar Trump ne Intelligence Report se ittafaq karte hue kaha ke China ki khwahish hogi ke un ki jagah khawab aaloda Democarate umeed waar jo Biden ki sadaarti intikhabaat mein jeet ho. Sadar Trump ne sahafion se baat cheet karte hue kaha ke China ka America par qabza karna ek khawab hai. Intelligence Director William Evanina ke mutabiq Iran bhi Social Media par ghalat maloomat pheilatay hue America mein raye aama ko taqseem kar ke sadar Trump ko nuqsaan pouncha raha hai, Jabkay Roos, America ki intikhabi muhim mein mudakhilat karte hue sadar Trump ke hareef aur democarate jamaat ke sadaar Trump ke hareef aur democrate jamaat ke sadaarti umeed waar jo Biden ki muhim ko nuqsaan pouncha raha hai.

William Evanina neh kaha hai ke Roos sabiq naib sadar jo Biden ko badnaam karne ki gharz se mukhtalif iqdamaat ko barowcar laa raha hai. Is se pehlay bhi Roos jo Biden ko sadar Vladimir Putin ki mukhalif jamaaton ki himayat karne par tanqeed ka nishana banata raha hai.

Taham sadar Trump neh Roos ke hawalay se Intelligence maloomat ko mustard kar diya ke Roos un ke dobarah sadar muntakhib honay ka khwaahan hai. Unhoun neh kaha ke un ke ilawa kisi aur Americi rehnuma neh Roos ke khilaaf itna sakht rawayya nahi apnaya.