Saturday, May 4, 2024
HomeSliderAmerici intikhabaat par Coronavirus ka assar nahi, Raye dahi Programme ke mutabiq...

Americi intikhabaat par Coronavirus ka assar nahi, Raye dahi Programme ke mutabiq hi hogi

Washington: Aalmi waba Coronavirus COVID-19 ki wajah se poori duniya mein be cheeni ke darmain America mein is saal honay walay sadaarti intikhabaat ki baabat sadar Donald Trump ne kaha hai ke intikhabaat apne muqarara waqt 3 November ko hi honge. Trump ne Coronavirus ki wajah se intikhabaat multawi kiye jaaney ke sawal par kaha aam intikhabaat is saal teen November ko hi honge. Unhoun ne mazeed kaha ke mein raye dahi ke liye istemaal kiye jaaney walay Belt ki himayat mein nahi hon, Vote Polling Both mein hi kiya jana chahiye.

Qabil ghhor hai ke Coronavirus ki wajah se kayi reyastoun ne intikhabaat multawi kar diye hain aur Democratic Party ne is waba ki wajah se July aur August ke darmain honay wali namzadgi Conference ko bhi multawi kar diya hai. Baher haal, Johns Hopkins University ke mutabiq is khatarnaak Virus ke sirf America mein 274,000 muamlay darj kiye ja chuke hain aur ab tak taqreeban 7077 afraad ki mout hochuki hai.

Doosri taraf America ke naib sadar Mike Pence ne kaha hai ke jaan lewa Coronavirus COVID-19 ke mamlaat ka pata laganay ke liye mulk bhar mein ab tak Record 14 lakh logoun ka Test kiya ja chuka hai. Pence ne sahafioun se baat cheet mein ye ittila dete huve kaha ke Coronavirus ke mamlaat ki jaanch ke hawala se hum ne abhi tak mulk bhar mein Record 14 lakh logoun ki jaanch ki hai. Qabil zikar hai ke Trump intizamia aaghaz mein Coronavirus mamlaat ki kam jaanch ke silsila mein bhaari dabao mein aa gaya tha jis ke baad naib sadar ka ye bayan aaya hai. –YTN STAFF