Friday, April 26, 2024
HomeSliderAmerici fauji jaate jaate jahazon aur helicopter ko nakara kar diya

Americi fauji jaate jaate jahazon aur helicopter ko nakara kar diya

Americi afwaaj ke Afganistan se nikalte hi Taliban jungju khushi se jhoom uthe unho ne 31 August tak magribi afwaaj ki aakhri jamaat ke mulk se inqela ke Kabul airport ke taamer par mach kiya yaha tak ke apni khushi ka izhar karte huwe Hawa mein firing bhi ki lekin kuch din baad sab kuch badal gaya hain. Al jazeera ki ek report ke mutabiq Taliban ne kaha hai ke woh dhoka dahi mehsoos karte hain kyun ke Amrican ne Kabul se rawangi se qabl fauji helicopter aur taiyaron ko nakara bana diya hain.

Al jazeera ki report ke mutabiq Taliban ne kaha ke unhe tawaqqo thi ke Americi apne istemal ke liye helicopter ki ek badi tetaad chod deinge. Report mein mazeed kaha gaya hain ke hum samjhte hain ke yeh ek qaumi asasa hain aur ab hum hukoomat hain aur yeh hamare liye bohut mufeed ho sakta tha. 31 August ki subha Kabul airport inqela ke namunon se bhara huwa tha. Terminal ke andar kapdon saman aur dastawizaat ke dhair bhikre pade the.

Americi force ke zaire istemal kayi CH-46 helicopter hainger mein khade the Americi fauj ne rawana hone se pehle 27 hamveez aur 73 taiyaron ko nakara kar diya. Taliban ke paas ab 48 taiyarein reh gaye hai halanke un mein se kitne kaam kar rahe hai is baare mein koie maloomat dastiyab nahi hain. Taliban ke Tarjuman Zabi ullah mujhahed ne kaha ke unki takniki teams taiyara gaah ki marammat aur safai kar rahi hain aur logon ko mashwara diya hain ke woh fil haal is ilaaqe se guraiz karein. Fil haal Taliban Afganistan ko dubara chalane mein masroof dikhai deti hai yeh ek aisa kaam hai jo in jungjuon ke liye challenge sabit ho sakta hain. Jinho ne apni zindegi ka beshtar hissa daihi ilaqon mein shorsh karte huwe guzara hain.