Sunday, May 5, 2024
HomeLatest NewsAmerici ewaan mein Donald Trumps ke khilaaf muwakhize ki qarardad manzoor ki...

Americi ewaan mein Donald Trumps ke khilaaf muwakhize ki qarardad manzoor ki gayi

New York: Iqtidaar ke najaaiz istemaal aur parliament ke kaam mein rukawat daalnay ke ilzamaat ke tehat Americi sadar Donald Trump ke muwakhize ki qarardar threek ewaan numaindgaan ( Democratic Control House Representatives ) mein Manzoor huvi. Taaqat ke najaaiz istemaal ki tajweez 197 ke muqaabla mein 229 votes se manzoor huvi.

Democratic control House Representatives nai Americi sadar Donald Trump ko muwakhiza karne ke liye tareekhi vote diya hai, Is mulk ke 243 saloon mein ye teesri baar qadam uthaya hai. charshumbe  ke ruz Ayewaan ki janib se 2 mah se zayed arsay tak jari rehne walay amal ke baad ewaan ki taraf se muwakhize ke 2 article par raye shumari ke baad ye amal Republic Control Senate mein tabdeel hogaya.

Is se qabal Trumps ne ewaan numaindgaan ki speaker  Nancy Pelosi ko nishana banaya tha aur Democrats membraan parliament par ekhtyarat ko ghair aaeni andaaz mein istemaal karne ka ilzaam aed karte hue inhen Iqtidaar mein tabdeeli ki ghair qanooni, Mutassbana koshish qarar diya tha. Vote se kuch ghantay qabal, Trumps ne 6 safhaat par mushtamil paigam mein likha tha ke aglay saal raye dahindgaan jab vote dalain ge tab par Democrats pachatenge.

Trumps America ke teesray sadar ban gay hain jin ke khilaaf muwakhize ki qarardad manzoor ki gayi hai. Un se qabal, sabiq Sadar Andrew Johnson ko 1868 mein aur Bill Clinton ko 1998 mein be dakhal kiya gaya tha, Lekin inhen na to mujrim qaraar diya gaya aur na hi inhen White House se be dakhal kar diya gaya.  Richard Nixon ke khilaaf muwakhize ki karwai ka agha kiya gaya, Lekin unhoun ne is amal ke wast mein hi dast bardari ikhtiyar karli.

Donald Trump par Joe Biden  sameit deegar hareefoun ki Shabeeh kharab kar ne ke liye Ukraine ki taraf se ghair qanooni tareeqay se madad mangnay ka ilzaam hai. Is ke ilawa unpar parliament ke kaam mein rukawat daalnay ka bhi ilzaam hai. Ewaan zaireen se qarardad manzoor ho janay ke baad ab ewaan baala senate mein un par bazabta tor par muqadma chalaya jaye ga.

Is muwakhize se Trumps ki sadarat par koi asar nahi pade ga, Kyunkay Republican zair-e-control Senate ne inhen bari kar diya. 3 Democratics ne muwakhize ke khilaaf vote diya, Aur ek aisay voter ke khauf se jis ne 2016 mein Trump ka intikhab kiya tha. It-tila-aat ke mutabiq, Senator is baat par faisla lenge ke Trump ko unke ohday se hata diya jaye ya nahi. –YTN STAFF